Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab to munh se bol mujhko dekh din bhar ho gaya

Qamar Jalalvi

ab to munh se bol mujhko dekh din bhar ho gaya

Qamar Jalalvi

MORE BYQamar Jalalvi

    ab to muñh se bol mujh ko dekh din bhar ho gayā

    ai but-e-ḳhāmosh kyā sach-much patthar ho gayā

    ab to chup ho baaġh meñ nāloñ se mahshar ho gayā

    ye bhī ai bulbul koī sayyād ghar ho gayā

    iltimās-e-qatl par kahte ho fursat nahīñ

    ab tumheñ itnā ġhurūr allāhu-akbar ho gayā

    mahfil-e-dushman meñ jo guzrī vo mere dil se pūchh

    har ishāra jumbish-e-abrū ḳhanjar ho gayā

    āshiyāne batā.eñ kyā pata ḳhāna-ba-dosh

    chaar tinke rakh liye jis shāḳh par ghar ho gayā

    hirs to dekho falak bhī mujh pe kartā hai sitam

    koī pūchhe to bhī kyā un ke barābar ho gayā

    soḳhta dil meñ na miltā tiir ko ḳhuuñ ai 'qamar'

    ye bhī kuchh mehmāñ qismat se mayassar ho gayā

    ab to munh se bol mujh ko dekh din bhar ho gaya

    ai but-e-KHamosh kya sach-much ka patthar ho gaya

    ab to chup ho bagh mein nalon se mahshar ho gaya

    ye bhi ai bulbul koi sayyaad ka ghar ho gaya

    iltimas-e-qatl par kahte ho fursat hi nahin

    ab tumhein itna ghurur allahu-akbar ho gaya

    mahfil-e-dushman mein jo guzri wo mere dil se puchh

    har ishaara jumbish-e-abru ka KHanjar ho gaya

    aashiyane ka bataen kya pata KHana-ba-dosh

    chaar tinke rakh liye jis shaKH par ghar ho gaya

    hirs to dekho falak bhi mujh pe karta hai sitam

    koi puchhe to bhi kya un ke barabar ho gaya

    soKHta dil mein na milta tir ko KHun ai 'qamar'

    ye bhi kuchh mehman ki qismat se mayassar ho gaya

    Source:

    Auj-Qamar (Pg. 57)

    • Author: Ustad Sayed Mohd. Hussain Qamar Jalalvi
      • Edition: 1952
      • Publisher: Shaikh Shokat Ali And Sons
      • Year of Publication: 1952
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now