ab to sab kuchh naya naya hai
ab to sab kuchh nayā nayā hai
tū bhī kitnā badal gayā hai
ġhuncha ġhuncha zaḳhm banā hai
ye kaisā mausam aayā hai
ab to dil meñ dard basā hai
ḳhuun to kab kā suukh chukā hai
mere paas zarā baiTho tum
mujh ko ḳhud se Dar lagtā hai
yuuñ hī udaas udaas na phirnā
jaane vaale ne rokā hai
mujh ko udaas jo dekhā to kab
jaane vaalā Thahar gayā hai
yaad us kī is july meñ
sard havā kā ik jhoñkā hai
us kī yaad se hī dil merā
barf sī rātoñ meñ jaltā hai
mujh ko har jānib se 'sādiq'
tanhā.ī ne aa gherā hai
ab to sab kuchh naya naya hai
tu bhi kitna badal gaya hai
ghuncha ghuncha zaKHm bana hai
ye kaisa mausam aaya hai
ab to dil mein dard basa hai
KHun to kab ka sukh chuka hai
mere pas zara baiTho tum
mujh ko KHud se Dar lagta hai
yun hi udas udas na phirna
jaane wale ne roka hai
mujh ko udas jo dekha to kab
jaane wala Thahar gaya hai
yaad us ki is july mein
sard hawa ka ek jhonka hai
us ki yaad se hi dil mera
barf si raaton mein jalta hai
mujh ko har jaanib se 'sadiq'
tanhai ne aa ghera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.