aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab to soch liya hai yaro dil ka KHun ho jaane dun

Vishvanath Dard

ab to soch liya hai yaro dil ka KHun ho jaane dun

Vishvanath Dard

MORE BYVishvanath Dard

    ab to soch liyā hai yaaro dil ḳhuuñ ho jaane duuñ

    jin logoñ ne dard diyā hai maiñ un ko afsāne duuñ

    aur zarā der meñ thak kar so jā.eñge taare bhī

    kab tak ghāyal hoñToñ ko maiñ giit birah ke gaane duuñ

    apne junūñ siina chhalnī hone duuñ maiñ kab tak aur

    itne saare farzāne haiñ kis kis ko samjhāne duuñ

    kab tak vo malhār tāneñ qaid meñ rakkheñ dekhūñ to

    ab to dīpak raag alāpūñ aur ḳhud ko jal jaane duuñ

    maiñ majbūr akelā raahī lekin rāhbar itne haiñ

    kis kis agvāhī mānūñ kis kis ko bahkāne duuñ

    ab to soch liya hai yaro dil ka KHun ho jaane dun

    jin logon ne dard diya hai main un ko afsane dun

    aur zara si der mein thak kar so jaenge tare bhi

    kab tak ghayal honTon ko main git birah ke gane dun

    apne junun ka sina chhalni hone dun main kab tak aur

    itne sare farzane hain kis kis ko samjhane dun

    kab tak wo malhaar ki tanen qaid mein rakkhen dekhun to

    ab to dipak rag alapun aur KHud ko jal jaane dun

    main majbur akela rahi lekin rahbar itne hain

    kis kis ki agwahi manun kis kis ko bahkane dun

    Source:

    Intikhab Apna Apna (Pg. 154)

      • Edition: 1987
      • Publisher: Seemant Parkashan, New Delhi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now