Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab to taqlid ke zindan se nikalne do mujhe

Altaf Ahmad Aazmi

ab to taqlid ke zindan se nikalne do mujhe

Altaf Ahmad Aazmi

MORE BYAltaf Ahmad Aazmi

    ab to taqlīd ke zindāñ se nikalne do mujhe

    vaqt badlā hai to thoḌā badalne do mujhe

    maiñ kahāñ aur kahāñ vaqt ke namrūd aag

    apne sho.ala-e-ehsās meñ jalne do mujhe

    kis liye aa ke khaḌī hai mire aage zulmat

    maiñ to sūraj huuñ nikalnā hai nikalne do mujhe

    chhūT jaa.e na kahīñ haath se dāmān-e-vafā

    kuchh to ai gardish-e-ayyām sañbhalne do mujhe

    mujh ko manzūr nahīñ ġhair qālib hargiz

    apne TuuTe hue sāñche meñ Dhalne do mujhe

    ḳhvāb dhund hai kuchh der meñ chhaT jā.egī

    so ke uTThā huuñ zarā aañkh to malne do mujhe

    hogā irfān-e-haqīqat bhī kisī din 'ahmad'

    kūcha-e-vahm-o-gumāñ se to nikalne do mujhe

    ab to taqlid ke zindan se nikalne do mujhe

    waqt badla hai to thoDa sa badalne do mujhe

    main kahan aur kahan waqt ke namrud ki aag

    apne hi shoala-e-ehsas mein jalne do mujhe

    kis liye aa ke khaDi hai mere aage zulmat

    main to suraj hun nikalna hai nikalne do mujhe

    chhuT jae na kahin hath se daman-e-wafa

    kuchh to ai gardish-e-ayyam sanbhalne do mujhe

    mujh ko manzur nahin ghair ka qalib hargiz

    apne TuTe hue sanche hi mein Dhalne do mujhe

    KHwab ki dhund hai kuchh der mein chhaT jaegi

    so ke uTTha hun zara aankh to malne do mujhe

    hoga irfan-e-haqiqat bhi kisi din 'ahmad'

    kucha-e-wahm-o-guman se to nikalne do mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now