Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab to yun lab pe mere harf-e-sadaqat aae

Roohi Kanjahi

ab to yun lab pe mere harf-e-sadaqat aae

Roohi Kanjahi

MORE BYRoohi Kanjahi

    ab to yuuñ lab pe mire harf-e-sadāqat aa.e

    nā-gahāñ shahr pe jaise koī aafat aa.e

    maslahat ho ga.ī mamnuā shajar sūrat

    laakh rokūñ magar us par tabī.at aa.e

    daḳhl ḳhushiyoñ mirī ziist meñ kaise ho ki jab

    terā ġham bhī ġham-e-daurāñ badaulat aa.e

    jis pe maiñ chhāp sakūñ sikka-e-ḳhud-muḳhtārī

    zindagī meñ koī aisī bhī to saa.at aa.e

    raat bhar dhotā huuñ tāroñ nadī meñ āñkheñ

    tab kahīñ ke nazar sub.h sūrat aa.e

    barf hālāt ban jaa.e na poshāk-e-hayāt

    itnī to terī tamannā meñ harārat aa.e

    vus.at-e-lamha pe rakhtā huuñ nigāheñ 'rūhī'

    kyuuñ na tahrīr meñ fardā ibārat aa.e

    ab to yun lab pe mere harf-e-sadaqat aae

    na-gahan shahr pe jaise koi aafat aae

    maslahat ho gai mamnua shajar ki surat

    lakh rokun magar us par hi tabiat aae

    daKHl KHushiyon ka meri zist mein kaise ho ki jab

    tera gham bhi gham-e-dauran ki badaulat aae

    jis pe main chhap sakun sikka-e-KHud-muKHtari

    zindagi mein koi aisi bhi to saat aae

    raat bhar dhota hun taron ki nadi mein aankhen

    tab kahin ja ke nazar subh ki surat aae

    barf haalat ki ban jae na poshak-e-hayat

    itni to teri tamanna mein hararat aae

    wusat-e-lamha pe rakhta hun nigahen 'ruhi'

    kyun na tahrir mein farda ki ibarat aae

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 489)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now