Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab un pe meri aah ka hoga asar kahan

Haidar Jafri

ab un pe meri aah ka hoga asar kahan

Haidar Jafri

MORE BYHaidar Jafri

    ab un pe merī aah hogā asar kahāñ

    kyā haal hai mirā unheñ is ḳhabar kahāñ

    ab un ke dil meñ ham se faqīroñ ghar kahāñ

    bas dekhiye ke phirte haiñ ham dar-ba-dar kahāñ

    ik mushkiloñ dhuup se merā hai sāmnā

    āsāniyoñ raah meñ koī shajar kahāñ

    muddat huī ke iid mayassar nahīñ hameñ

    aayā hai chāñd ham ko hamārā nazar kahāñ

    bas ai tabīb nusḳha-e-dīdār likh mujhe

    in marhamoñ se bhartā hai zaḳhm-e-jigar kahāñ

    har aan nafratoñ hai pahrā galī galī

    ab ham kareñ talāsh mohabbat-nagar kahāñ

    har moḌ par hai ek musībat se sāmnā

    ab jaane ḳhatm hogā mirā ye safar kahāñ

    tārīk ho chukī yahāñ 'haidar' zindagī

    us ko nasīb ishq ke shams-o-qamar kahāñ

    ab un pe meri aah ka hoga asar kahan

    kya haal hai mera unhen is ki KHabar kahan

    ab un ke dil mein hum se faqiron ka ghar kahan

    bas dekhiye ke phirte hain hum dar-ba-dar kahan

    ek mushkilon ki dhup se mera hai samna

    aasaniyon ka rah mein koi shajar kahan

    muddat hui ke id mayassar nahin hamein

    aaya hai chand hum ko hamara nazar kahan

    bas ai tabib nusKHa-e-didar likh mujhe

    in marhamon se bharta hai zaKHm-e-jigar kahan

    har aan nafraton ka hai pahra gali gali

    ab hum karen talash mohabbat-nagar kahan

    har moD par hai ek musibat se samna

    ab jaane KHatm hoga mera ye safar kahan

    tarik ho chuki yahan 'haidar' ki zindagi

    us ko nasib ishq ke shams-o-qamar kahan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now