Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab yahan koi nahin sath nibhane wala

Arshad Nazar

ab yahan koi nahin sath nibhane wala

Arshad Nazar

MORE BYArshad Nazar

    ab yahāñ koī nahīñ saath nibhāne vaalā

    terī yādoñ ke sivā kaun hai aane vaalā

    aadmī jaag jaatā hai sahar hone par

    us ke andar koī hogā jagāne vaalā

    din meñ kitnī tamāzat ko luTā.e sūraj

    ham ne paayā hai use Duub jaane vaalā

    kis ke aañsū haiñ jo pattoñ pe chhalak aa.e haiñ

    kaun zaḳhm hai shāḳhoñ ko rulāne vaalā

    paañv se lipTī huī miltī haiñ rāheñ kitnī

    haa.e kis soch meñ niklā hai ye jaane vaalā

    zabt TūTegā to ye zaḳhm dahan kholeñge

    aañsū legā sabhī aañsū bahāne vaalā

    shā.erī apnī 'nazar' sāda-o-purkār nahīñ

    ab kahāñ koī rahā sher sunāne vaalā

    ab yahan koi nahin sath nibhane wala

    teri yaadon ke siwa kaun hai aane wala

    aadmi jag hi jata hai sahar hone par

    us ke andar hi koi hoga jagane wala

    din mein kitni hi tamazat ko luTae suraj

    hum ne paya hai use Dub hi jaane wala

    kis ke aansu hain jo patton pe chhalak aae hain

    kaun sa zaKHm hai shaKHon ko rulane wala

    panw se lipTi hui milti hain rahen kitni

    hae kis soch mein nikla hai ye jaane wala

    zabt TuTega to ye zaKHm dahan kholenge

    aansu pi lega sabhi aansu bahane wala

    shaeri apni 'nazar' sada-o-purkar nahin

    ab kahan koi raha sher sunane wala

    Source:

    Chand Karta Hai Guftagu Hamse (Pg. 51)

    • Author: Arshad Nazar
      • Publisher: Aqsa Press, Malegaon, Khwaja Shuaib Aalam
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now