Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab zamin-o-asman ke sab kinaron se alag

Shadab Ulfat

ab zamin-o-asman ke sab kinaron se alag

Shadab Ulfat

MORE BYShadab Ulfat

    ab zamīn-o-āsmāñ ke sab kināroñ se alag

    gaḌ.h rahā huuñ apnī duniyā in sitāroñ se alag

    gard merī uḌ rahī hai chāñd-tāroñ meñ kahīñ

    tarz us ne paa.ī hai sab ḳhāksāroñ se alag

    pattharoñ ko aa.ine meñ qaid karne hunar

    raah maiñ ne ye nikālī hai hazāroñ se alag

    chāñd ab tum ko kah kar baat ko puurā karūñ

    kaun DhūñDe lafz raa.ij isti.āroñ se alag

    dar ye dil khul gayā hai ḳhud-ba-ḳhud aaj kyuuñ

    un nazroñ ne kiyā hai kuchh ishāroñ se alag

    ab zamin-o-asman ke sab kinaron se alag

    gaDh raha hun apni duniya in sitaron se alag

    gard meri uD rahi hai chand-taron mein kahin

    tarz us ne pai hai sab KHaksaron se alag

    pattharon ko aaine mein qaid karne ka hunar

    rah main ne ye nikali hai hazaron se alag

    chand hi ab tum ko kah kar baat ko pura karun

    kaun DhunDe lafz raij istiaron se alag

    dar ye dil ka khul gaya hai KHud-ba-KHud hi aaj kyun

    un ki nazron ne kiya hai kuchh ishaaron se alag

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now