abhi hai raat abhi aur ek kahani hai
abhī hai raat abhī aur ik kahānī hai
abhī to mom kī āñkhoñ meñ thoḌā paanī hai
zarūratoñ meñ jalāte haiñ phir bujhāte haiñ
kisī charāġh ke jaisī mirī javānī hai
ye terī zulfeñ tirī āñkheñ tere hoñT sanam
ḳhudā ke haath kī nāyāb bāġhbānī hai
ye jo hunar hai ġham-o-ranj bhuul jaane kā
hamārī maañ kī yahī āḳhirī nishānī hai
maiñ ajnabī ko Thikāne pe chhoḌ aatā huuñ
mirī ragoñ meñ abhī gaañv kī ravānī hai
purāne lamhe dikhe chābiyāñ ghumāne se
'uday' ke haath meñ lipTī ghaḌī purānī hai
abhi hai raat abhi aur ek kahani hai
abhi to mom ki aankhon mein thoDa pani hai
zaruraton mein jalate hain phir bujhate hain
kisi charagh ke jaisi meri jawani hai
ye teri zulfen teri aankhen tere honT sanam
KHuda ke hath ki nayab baghbani hai
ye jo hunar hai gham-o-ranj bhul jaane ka
hamari man ki yahi aaKHiri nishani hai
main ajnabi ko Thikane pe chhoD aata hun
meri ragon mein abhi ganw ki rawani hai
purane lamhe dikhe chabiyan ghumane se
'uday' ke hath mein lipTi ghaDi purani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.