Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi jawani hai mai-kade par abhi to baadal bhi hai ghanera

Afsar Azri

abhi jawani hai mai-kade par abhi to baadal bhi hai ghanera

Afsar Azri

MORE BYAfsar Azri

    abhī javānī hai mai-kade par abhī to bādal bhī hai ghanerā

    abhī to zinda hai husn saaqī abhī salāmat hai ishq merā

    vo shab sāñseñ ukhaḌ rahī haiñ vo laḌkhaḌāne lagā añdherā

    uTho musībat-kasho uTho bhī uTho ki hone ko hai saverā

    mujhe na mahbūs kar sakegī kisī bhī pāzeb chhanā-chhan

    giraft manziloñ se aage guzar chukā hai shu.ūr merā

    vo sarmadī hasīñ tarannum latīf hoñToñ ik tabassum

    mujhe ye ehsās kyoñ hai paiham ki jaise kuchh kho gayā hai merā

    nazar uThānā idhar na 'afsar' burā hai ye dollaroñ chakkar

    udhar udhar ho ga.ī safā.ī jidhar jidhar us ne haath pherā

    abhi jawani hai mai-kade par abhi to baadal bhi hai ghanera

    abhi to zinda hai husn saqi abhi salamat hai ishq mera

    wo shab ki sansen ukhaD rahi hain wo laDkhaDane laga andhera

    uTho musibat-kasho uTho bhi uTho ki hone ko hai sawera

    mujhe na mahbus kar sakegi kisi bhi pazeb ki chhana-chhan

    giraft ki manzilon se aage guzar chuka hai shuur mera

    wo sarmadi sa hasin tarannum latif honTon ka ek tabassum

    mujhe ye ehsas kyon hai paiham ki jaise kuchh kho gaya hai mera

    nazar uThana idhar na 'afsar' bura hai ye dollaron ka chakkar

    udhar udhar ho gai safai jidhar jidhar us ne hath phera

    Source:

    (Pg. 28)

    • Author: Afsar Azri
      • Publisher: Risala Beesvin Sadi, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now