Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi kisi ko sunai nahin diya hun main

Iqbal Ejaz Baig

abhi kisi ko sunai nahin diya hun main

Iqbal Ejaz Baig

MORE BYIqbal Ejaz Baig

    abhī kisī ko sunā.ī nahīñ diyā huuñ maiñ

    purāne bāġhoñ meñ ik taaza chahchahā huuñ maiñ

    nahīñ huuñ haamī maiñ na.are lagāne vāloñ

    usī hujūm meñ lekin khaḌā huā huuñ maiñ

    palaT ke dekhne ho agar tujhe fursat

    varaq dūsrī jānib likhā huā huuñ maiñ

    maiñ saañs lene zahmat meñ to nahīñ paḌtā

    mujhe batāyā to hotā ki mar gayā huuñ maiñ

    vo jis āñkheñ nahīñ haiñ vo dekhtā hai mujhe

    jo rū-numā nahīñ hotā hai vāqi.a huuñ maiñ

    abhi kisi ko sunai nahin diya hun main

    purane baghon mein ek taza chahchaha hun main

    nahin hun hami main nare lagane walon ka

    usi hujum mein lekin khaDa hua hun main

    palaT ke dekhne ki ho agar tujhe fursat

    waraq ki dusri jaanib likha hua hun main

    main sans lene ki zahmat mein to nahin paDta

    mujhe bataya to hota ki mar gaya hun main

    wo jis ki aankhen nahin hain wo dekhta hai mujhe

    jo ru-numa nahin hota hai waqia hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now