abhi mara tha abhi mar ke ji uTha hun main
abhī marā thā abhī mar ke jī uThā huuñ maiñ
jahāñ kaTā thā vahīñ se panap rahā huuñ maiñ
mirī sadā hī mirī niiñd toḌ detī hai
na jaane ḳhvāb meñ kis ko pukārtā huuñ maiñ
ḳhayāl-e-yār hai ik bahr-e-bekarāñ kī tarah
zarā sā sochā thā aur Duub sā gayā huuñ maiñ
ġhalat hai mujh se ye tartīb-e-raushnī kā gila
ki shaam hī se havāoñ meñ jal rahā huuñ maiñ
sameT rakkhā hai dushman ne mujh ko hāthoñ meñ
ki apnī piiTh ke pīchhe bañdhā huā huuñ maiñ
abhi mara tha abhi mar ke ji uTha hun main
jahan kaTa tha wahin se panap raha hun main
meri sada hi meri nind toD deti hai
na jaane KHwab mein kis ko pukarta hun main
KHayal-e-yar hai ek bahr-e-bekaran ki tarah
zara sa socha tha aur Dub sa gaya hun main
ghalat hai mujh se ye tartib-e-raushni ka gila
ki sham hi se hawaon mein jal raha hun main
sameT rakkha hai dushman ne mujh ko hathon mein
ki apni piTh ke pichhe bandha hua hun main
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 72)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.