Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi tamam aainon mein zarra zarra aab hai

Ejaz Obaid

abhi tamam aainon mein zarra zarra aab hai

Ejaz Obaid

MORE BYEjaz Obaid

    abhī tamām ā.inoñ meñ zarra zarra aab hai

    ye kis ne tum se kah diyā ki zindagī ḳharāb hai

    na jaane aaj ham pe pyaas ye kaisā qahr hai

    ki jis taraf bhī dekhiye sarāb sarāb hai

    har ek raah meñ miTe mai-e-nuqūsh-e-ārzū

    har ik taraf thakī thakī rahguzār ḳhvāb hai

    kabhī na dil ke sāgaroñ meñ tum utar sake magar

    mire liye mirā vajūd ik khulī kitāb hai

    har ek samt ret ret par havā ke naqsh haiñ

    yahāñ to dasht dasht meñ havāoñ azaab hai

    abhi tamam aainon mein zarra zarra aab hai

    ye kis ne tum se kah diya ki zindagi KHarab hai

    na jaane aaj hum pe pyas ka ye kaisa qahr hai

    ki jis taraf bhi dekhiye sarab hi sarab hai

    har ek rah mein miTe mai-e-nuqush-e-arzu

    har ek taraf thaki thaki si rahguzar KHwab hai

    kabhi na dil ke sagaron mein tum utar sake magar

    mere liye mera wajud ek khuli kitab hai

    har ek samt ret ret par hawa ke naqsh hain

    yahan to dasht dasht mein hawaon ka azab hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now