Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi to kam-se-kam jhagDa karenge

Dheerendra Singh Faiyaz

abhi to kam-se-kam jhagDa karenge

Dheerendra Singh Faiyaz

MORE BYDheerendra Singh Faiyaz

    abhī to kam-se-kam jhagḌā kareñge

    judā ho kar batā ham kyā kareñge

    tumhāre raheñge 'umr-bhar ham

    tumhāre 'ishq meñ itnā kareñge

    badan pusht rakkheñge zamīñ par

    musalsal āsmāñ dekhā kareñge

    sharārat meñ tumheñ ham kho bhī deñge

    bahut ro.eñge phir DhūñDā kareñge

    nahīñ socheñge tere saath meñ kuchh

    kareñge jo vo sab dil kareñge

    bhulā deñge tumheñ ham dil se yaksar

    tumheñ 'umr-bhar sochā kareñge

    badan ko tere kar leñge libās aur

    tasavvur meñ tujhe pahnā kareñge

    abhi to kam-se-kam jhagDa karenge

    juda ho kar bata hum kya karenge

    tumhaare hi rahenge 'umr-bhar hum

    tumhaare 'ishq mein itna karenge

    badan ki pusht rakkhenge zamin par

    musalsal aasman dekha karenge

    shararat mein tumhein hum kho bhi denge

    bahut roenge phir DhunDa karenge

    nahin sochenge tere sath mein kuchh

    karenge jo wo sab dil ka karenge

    bhula denge tumhein hum dil se yaksar

    tumhein hi 'umr-bhar socha karenge

    badan ko tere kar lenge libas aur

    tasawwur mein tujhe pahna karenge

    Source :
    • Book : Khaamushi Raasta Nikaalegi (Pg. 46)
    • Author : Dheerendra Singh Faiyaz
    • Publication : Rekhta Publications (2023)
    • Edition : 3rd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

    Speak Now