Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi to mahw-e-tajalli hain sab dukanon par

Jafar Abbas

abhi to mahw-e-tajalli hain sab dukanon par

Jafar Abbas

MORE BYJafar Abbas

    Interesting Fact

    22 July 2012

    abhī to mahv-e-tajallī haiñ sab dukānoñ par

    palaT ke dekhiye aate haiñ kab makānoñ par

    ḳhayāl-e-ḳhām meñ guzrī hai zindagī saarī

    haqīqatoñ gumāñ hai abhī fasānoñ par

    qadam qadam pe tazādoñ se sābiqa hai jahāñ

    yaqīn kaise kare koī in gumānoñ par

    vo jis chaah meñ mar mar ke rahe haiñ yahāñ

    na jaane kaun bastī hai āsmānoñ par

    jahāñ bhī tiir lagā bas vahī hadaf Thahrā

    hai phir bhī zo.am bahut un ko in kamānoñ par

    maiñ un baat ko kis taur mo'atabar jānūñ

    madār-e-zīst jin hai kuchh bahānoñ par

    kaḌī hai dhuup jhulastī haiñ ab dalīleñ sabhī

    yaqīñ hai phir bhī unheñ kitnā sā.ebānoñ par

    nazar meñ zehn meñ dil meñ kushādgī laao

    havā ke ruḳh taqāzā hai bādbānoñ par

    na jaane kitnī sadiyāñ lageñgī aur abhī

    diloñ baat jab aa pā.egī zabānoñ par

    ajiib un ko salīqa hai khul ke jiine

    na.ī hai kaun tohmat ye ham divānoñ par

    hamārī zaat se ābād kuchh ḳharābe haiñ

    hai apne dam se ujālā ka.ī maqāmoñ par

    ḳhirad-navāz junūñ aur junūñ-navāz ḳhirad

    haiñ ab bhī nuur tarīqe ye kuchh Thikānoñ par

    use jagāo Dase tum ko maar Daale tumheñ

    tumhārī zaat meñ baiThā hai jo ḳhazānoñ par

    abhi to mahw-e-tajalli hain sab dukanon par

    palaT ke dekhiye aate hain kab makanon par

    KHayal-e-KHam mein guzri hai zindagi sari

    haqiqaton ka guman hai abhi fasanon par

    qadam qadam pe tazadon se sabiqa hai jahan

    yaqin kaise kare koi in gumanon par

    wo jis ki chah mein mar mar ke ji rahe hain yahan

    na jaane kaun si basti hai aasmanon par

    jahan bhi tir laga bas wahi hadaf Thahra

    hai phir bhi zoam bahut un ko in kamanon par

    main un ki baat ko kis taur mo'atabar jaanun

    madar-e-zist hi jin ka hai kuchh bahanon par

    kaDi hai dhup jhulasti hain ab dalilen sabhi

    yaqin hai phir bhi unhen kitna saebanon par

    nazar mein zehn mein dil mein kushadgi lao

    hawa ke ruKH ka taqaza hai baadbanon par

    na jaane kitni hi sadiyan lagengi aur abhi

    dilon ki baat jab aa paegi zabanon par

    ajib un ko saliqa hai khul ke jine ka

    nai hai kaun si tohmat ye hum diwanon par

    hamari zat se aabaad kuchh KHarabe hain

    hai apne dam se ujala kai maqamon par

    KHirad-nawaz junun aur junun-nawaz KHirad

    hain ab bhi nur tariqe ye kuchh Thikanon par

    use jagao Dase tum ko mar Dale tumhein

    tumhaari zat mein baiTha hai jo KHazanon par

    Source:

    Dawat-e-Sang (Pg. 59)

    • Author: Jafar Abbas
      • Edition: 2017
      • Publisher: Guftagu Publications
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now