aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi zamir mein thoDi si jaan baqi hai

Javed Akhtar

abhi zamir mein thoDi si jaan baqi hai

Javed Akhtar

MORE BYJaved Akhtar

    abhī zamīr meñ thoḌī jaan baaqī hai

    abhī hamārā koī imtihān baaqī hai

    hamāre ghar ko to ujḌe hue zamāna huā

    magar sunā hai abhī vo makān baaqī hai

    hamārī un se jo thī guftugū vo ḳhatm huī

    magar sukūt kuchh darmiyān baaqī hai

    hamāre zehn bastī meñ aag aisī lagī

    ki jo thā ḳhaak huā ik dukān baaqī hai

    vo zaḳhm bhar gayā arsa huā magar ab tak

    zarā dard zarā nishān baaqī hai

    zarā baat jo phailī to dāstān banī

    vo baat ḳhatm huī dāstān baaqī hai

    ab aayā tiir chalāne fan to kyā aayā

    hamāre haath meñ ḳhālī kamān baaqī hai

    abhi zamir mein thoDi si jaan baqi hai

    abhi hamara koi imtihan baqi hai

    hamare ghar ko to ujDe hue zamana hua

    magar suna hai abhi wo makan baqi hai

    hamari un se jo thi guftugu wo KHatm hui

    magar sukut sa kuchh darmiyan baqi hai

    hamare zehn ki basti mein aag aisi lagi

    ki jo tha KHak hua ek dukan baqi hai

    wo zaKHm bhar gaya arsa hua magar ab tak

    zara sa dard zara sa nishan baqi hai

    zara si baat jo phaili to dastan bani

    wo baat KHatm hui dastan baqi hai

    ab aaya tir chalane ka fan to kya aaya

    hamare hath mein KHali kaman baqi hai

    Source:

    LAVA (Pg. 103)

    • Author: JAVED AKHTAR
      • Edition: 2012
      • Publisher: RAJ KAMAL PARKASHAN
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now