Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abr ka TukDa ho jaise chand par Thahra hua

Salahuddin Nadeem

abr ka TukDa ho jaise chand par Thahra hua

Salahuddin Nadeem

MORE BYSalahuddin Nadeem

    Interesting Fact

    July 1960

    abr TukḌā ho jaise chāñd par Thahrā huā

    yuuñ tire mukhḌe pe zulfoñ ghanā saaya huā

    qurb lazzat se āñkhoñ meñ ghaTā chhā ga.ī

    aur ye dil hai sharābī tarah bahkā huā

    dil samajhtā hai tirī raftār ke uslūb ko

    abhī aayā nahīñ aur hashr barpā huā

    āshnā.ī havā dil ke chaman meñ kyā chalī

    har gul-e-manzar nazar aayā mujhe dekhā huā

    ab kisī ġham sitāra bhī nahīñ raushan 'nadīm'

    kyā mirī āñkhoñ meñ koī chāñd hai niklā huā

    abr ka TukDa ho jaise chand par Thahra hua

    yun tere mukhDe pe zulfon ka ghana saya hua

    qurb ki lazzat se aankhon mein ghaTa si chha gai

    aur ye dil hai sharabi ki tarah bahka hua

    dil samajhta hai teri raftar ke uslub ko

    tu abhi aaya nahin aur hashr sa barpa hua

    aashnai ki hawa dil ke chaman mein kya chali

    har gul-e-manzar nazar aaya mujhe dekha hua

    ab kisi gham ka sitara bhi nahin raushan 'nadim'

    kya meri aankhon mein koi chand hai nikla hua

    Source:

    Shola-e-Khushboo (Pg. 177)

    • Author: Salahuddin Nadeem
      • Edition: 1984
      • Publisher: Raheel Salahuddin
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now