abr ko rokte hain aab talab karte hain
abr ko rokte haiñ aab talab karte haiñ
dasht saada haiñ ki tālāb talab karte haiñ
masḳhare-pan kī bhī had hotī hai koī yā'nī
log dariyāoñ se sailāb talab karte haiñ
un ko hai apne nazāroñ kī sajāvaT se ġharaz
khiḌkiyoñ vaale to mahtāb talab karte haiñ
ham ki kar lete haiñ sūrāḳh safīne meñ ḳhud
ham ki ḳhud bahr meñ girdāb talab karte haiñ
un ko maġhmūm tanaffus meñ sukūñ miltā hai
ahl-e-dil ḳhud dil-e-betāb talab karte haiñ
kal talak sabz nazāroñ meñ numāyāñ the miyāñ
ham jo ab dīda-e-ḳhūñ-nāb talab karte haiñ
ab thakan jān-kanī ke hai mumāsil Thahrī
ab tirā lams ye ā'sāb talab karte haiñ
is meñ ab zard zamānoñ kā dhuāñ uḌtā hai
aap jis dil se tab-o-tāb talab karte haiñ
haath malte haiñ 'hayā' aañkh kī 'uryānī par
ham jo har shab se nayā ḳhvāb talab karte haiñ
abr ko rokte hain aab talab karte hain
dasht sada hain ki talab talab karte hain
masKHare-pan ki bhi had hoti hai koi ya'ni
log dariyaon se sailab talab karte hain
un ko hai apne nazaron ki sajawaT se gharaz
khiDkiyon wale to mahtab talab karte hain
hum ki kar lete hain suraKH safine mein KHud
hum ki KHud bahr mein girdab talab karte hain
un ko maghmum tanaffus mein sukun milta hai
ahl-e-dil KHud dil-e-betab talab karte hain
kal talak sabz nazaron mein numayan the miyan
hum jo ab dida-e-KHun-nab talab karte hain
ab thakan jaan-kani ke hai mumasil Thahri
ab tera lams ye aa'sab talab karte hain
is mein ab zard zamanon ka dhuan uDta hai
aap jis dil se tab-o-tab talab karte hain
hath malte hain 'haya' aankh ki 'uryani par
hum jo har shab se naya KHwab talab karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.