Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abr sarka chand ki chehra-numai ho gai

Saleem Shahid

abr sarka chand ki chehra-numai ho gai

Saleem Shahid

MORE BYSaleem Shahid

    abr sarkā chāñd chehra-numā.ī ho ga.ī

    ik jhalak dekhā use aur āshnā.ī ho ga.ī

    so gayā to ḳhvāb apne ghar meñ le aa.e mujhe

    jaise merī vaqt se pahle rihā.ī ho ga.ī

    mere kamre meñ koī tasvīr pahle to na thī

    us ko dekhā saade kāġhaz par chhapā.ī ho ga.ī

    maiñ khulī chhat se utar aayā bhare bāzār meñ

    sāmne khiḌkī raunaq jab parā.ī ho ga.ī

    uḌ rahī hai har taraf sūraj ke añgāre raakh

    bujh gayā din jal ke ḳhākistar ḳhudā.ī ho ga.ī

    kaash jīte-jī shajar saa.e meñ le letā mujhe

    vasl ke mausam se pahle judā.ī ho ga.ī

    bah chuke aañsū to chashm-e-sabz rañg uḌ gayā

    rafta rafta zard is dariyā kaa.ī ho ga.ī

    ho ga.ī 'shāhid' vo chashm-e-sañg paanī kyā huā

    kis tarah nāḳhun se patthar par khudā.ī ho ga.ī

    abr sarka chand ki chehra-numai ho gai

    ek jhalak dekha use aur aashnai ho gai

    so gaya to KHwab apne ghar mein le aae mujhe

    jaise meri waqt se pahle rihai ho gai

    mere kamre mein koi taswir pahle to na thi

    us ko dekha sade kaghaz par chhapai ho gai

    main khuli chhat se utar aaya bhare bazar mein

    samne khiDki ki raunaq jab parai ho gai

    uD rahi hai har taraf suraj ke angare ki rakh

    bujh gaya din jal ke KHakistar KHudai ho gai

    kash jite-ji shajar sae mein le leta mujhe

    wasl ke mausam se pahle hi judai ho gai

    bah chuke aansu to chashm-e-sabz ka rang uD gaya

    rafta rafta zard is dariya ki kai ho gai

    ho gai 'shahid' wo chashm-e-sang pani kya hua

    kis tarah naKHun se patthar par khudai ho gai

    Source:

    Subh-e-safar (Pg. 59)

    • Author: Saleem Shahid
      • Edition: 1971
      • Publisher: Ham asr, Lahore
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now