Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achchha hai isi surat-e-haalat mein rahna

Saleem Kausar

achchha hai isi surat-e-haalat mein rahna

Saleem Kausar

MORE BYSaleem Kausar

    achchhā hai isī sūrat-e-hālāt meñ rahnā

    din shahr meñ aur raat mazāfāt meñ rahnā

    har raat sitāroñ ko zamīñ par liye phirnā

    har sub.h kahīñ hamd-o-munājāt meñ rahnā

    is bhiiḌ meñ gard-e-dar-o-dīvār hai itnī

    mumkin nahīñ haath kisī haat meñ rahnā

    us shaḳhs chāhat bhī ajab hai ki hamesha

    ḳhātir meñ na laanā to mudārāt meñ rahnā

    ye shahr samundar ke kināre pa hai ābād

    is shahr meñ rahnā bhī to auqāt meñ rahnā

    ham ahl-e-tarīqat yahī rasm rahī hai

    zindān meñ halqa-e-sādāt meñ rahnā

    dikhnā to 'salīm' apne ravayye pe dikhnā

    ḳhush rahnā to apnī kisī baat meñ rahnā

    achchha hai isi surat-e-haalat mein rahna

    din shahr mein aur raat mazafat mein rahna

    har raat sitaron ko zamin par liye phirna

    har subh kahin hamd-o-munajat mein rahna

    is bhiD mein gard-e-dar-o-diwar hai itni

    mumkin hi nahin hath kisi hat mein rahna

    us shaKHs ki chahat bhi ajab hai ki hamesha

    KHatir mein na lana to mudaraat mein rahna

    ye shahr samundar ke kinare pa hai aabaad

    is shahr mein rahna bhi to auqat mein rahna

    hum ahl-e-tariqat ki yahi rasm rahi hai

    zindan mein ya halqa-e-sadat mein rahna

    dikhna to 'salim' apne rawayye hi pe dikhna

    KHush rahna to apni hi kisi baat mein rahna

    Source:

    Muntakhab Ghazlein-1982 (Pg. 102)

      • Publisher: Zahid Malik
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now