aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achchha hai koi tir-ba-nashtar bhi le chalo

Abdullateef Shauq

achchha hai koi tir-ba-nashtar bhi le chalo

Abdullateef Shauq

MORE BYAbdullateef Shauq

    achchhā hai koī tīr-bā-nashtar bhī le chalo

    kuchh yādgār-e-shahr-e-sitamgar bhī le chalo

    sab rahe gulāb se chehre liye hue

    tum ā.inoñ ke shahr meñ patthar bhī le chalo

    yuuñ kam nahīñ hai shīrīñ-bayānī aap

    chāho to āstīn meñ ḳhanjar bhī le chalo

    mujh ko kisī yazīd bai.at nahīñ qubūl

    neze ye rakkho aao mirā sar bhī le chalo

    kyā jaane kaise ḳhvāb sajāne paḌeñ ai 'shauq'

    āñkho meñ ik hasīn manzar bhī le chalo

    achchha hai koi tir-ba-nashtar bhi le chalo

    kuchh yaadgar-e-shahr-e-sitamgar bhi le chalo

    sab ja rahe gulab se chehre liye hue

    tum aainon ke shahr mein patthar bhi le chalo

    yun kam nahin hai shirin-bayani hi aap ki

    chaho to aastin mein KHanjar bhi le chalo

    mujh ko kisi yazid ki baiat nahin qubul

    neze ye rakkho aao mera sar bhi le chalo

    kya jaane kaise KHwab sajaane paDen ai 'shauq'

    aankho mein ek hasin sa manzar bhi le chalo

    Source:

    Mata-e-Shauq (Pg. 80)

    • Author: Abdullateef Shauq
      • Edition: 2013
      • Publisher: Abdullateef Shauq
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now