achchha hua ye waqt to aana zarur tha

Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

achchha hua ye waqt to aana zarur tha

Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

MORE BYMirza Altaf Husain Alim Lucknowi

  achchhā huā ye vaqt to aanā zarūr thā

  muddat se kashmakash meñ dil-e-nā-subūr thā

  duniyā hoshiyār baḌā zī-shu.ūr thā

  jab tak mire kahe meñ dil-e-nā-subūr thā

  merā qusūr merī nazar qusūr thā

  vo jis qadar qarīb thā utnā duur thā

  achchhā huā jo dil taḌap aur baḌh ga.ī

  jaanā bhī un bazm meñ mujh ko zarūr thā

  us be-nishāñ aaj nishāñ DhūñDte haiñ aap

  suniye vahī jo nāzish-e-ahl-e-qubūr thā

  vo daur merī umr thā yādgār daur

  jis meñ ki tere husn pe mujh ko ġhurūr thā

  le aayā kaun gor-e-ġharībāñ meñ khīñch kar

  kosoñ abhī maiñ manzil-e-maqsad se duur thā

  vaa.iz ne zikr-e-va.ada-e-firdaus kyuuñ kiyā

  us rind se jo nashsha-e-vahdat se chuur thā

  ab aa ke merī laash se farmā rahe haiñ vo

  'ālim' ye terī aql-o-farāsat se duur thā

  achchha hua ye waqt to aana zarur tha

  muddat se kashmakash mein dil-e-na-subur tha

  duniya ka hoshiyar baDa zi-shuur tha

  jab tak mere kahe mein dil-e-na-subur tha

  mera qusur meri nazar ka qusur tha

  wo jis qadar qarib tha utna hi dur tha

  achchha hua jo dil ki taDap aur baDh gai

  jaana bhi un ki bazm mein mujh ko zarur tha

  us be-nishan ka aaj nishan DhunDte hain aap

  suniye wahi jo nazish-e-ahl-e-qubur tha

  wo daur meri umr ka tha yaadgar daur

  jis mein ki tere husn pe mujh ko ghurur tha

  le aaya kaun gor-e-ghariban mein khinch kar

  koson abhi main manzil-e-maqsad se dur tha

  waiz ne zikr-e-wada-e-firdaus kyun kiya

  us rind se jo nashsha-e-wahdat se chur tha

  ab aa ke meri lash se farma rahe hain wo

  'alim' ye teri aql-o-farasat se dur tha

  Source :
  • Book : Intekhab-e-Kuliyat Aalim Lucknowi (Pg. 256)
  • Author : Mirza Mohammad Yousuf
  • Publication : M. R. Publication (2010)
  • Edition : 2010
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY