Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achchha nahin hota kabhi bimar-e-mohabbat

Riyaz Hasan Khan Khayal

achchha nahin hota kabhi bimar-e-mohabbat

Riyaz Hasan Khan Khayal

MORE BYRiyaz Hasan Khan Khayal

    achchhā nahīñ hotā kabhī bīmār-e-mohabbat

    goyā marazul-maut hai āzār-e-mohabbat

    kyoñ sard hai ab josh-e-ḳharīdār-e-mohabbat

    kyā ho ga.ī vo garmī-e-bāzār-e-mohabbat

    mā'lūm huā ab ki vo thiiñ bāteñ bāteñ

    shoḳhī se sharārat se thā iqrār-e-mohabbat

    aise vo bhūle ki samajhte nahīñ kuchh

    ḳhud mujhe aatā nahīñ iz.hār-e-mohabbat

    haiñ ek Dore meñ bañdhe shaiḳh-o-barahman

    donoñ gardan meñ hai zunnār-e-mohabbat

    gul-daste haiñ zaḳhmoñ ke kañval dāġhoñ ke dil meñ

    kyā turfa hai ārā.ish-e-darbār-e-mohabbat

    chitvan kahe detī hai ki ulfat hai use bhī

    kyā farz hai muñh khol ke iqrār-e-mohabbat

    lazzat vo shakar meñ na maza shahd aisā

    kuchh aur hai shīrīnī-e-guftār-e-mohabbat

    mahshar meñ 'ḳhayāl' aaj kareñ us gila kyā

    duniyā meñ to karte rahe iz.hār-e-mohabbat

    achchha nahin hota kabhi bimar-e-mohabbat

    goya marazul-maut hai aazar-e-mohabbat

    kyon sard hai ab josh-e-KHaridar-e-mohabbat

    kya ho gai wo garmi-e-bazar-e-mohabbat

    ma'lum hua ab ki wo thin baaten hi baaten

    shoKHi se shararat se tha iqrar-e-mohabbat

    ya aise wo bhule ki samajhte hi nahin kuchh

    ya KHud mujhe aata nahin izhaar-e-mohabbat

    hain ek hi Dore mein bandhe shaiKH-o-barahman

    donon hi ki gardan mein hai zunnar-e-mohabbat

    gul-daste hain zaKHmon ke kanwal daghon ke dil mein

    kya turfa hai aaraish-e-darbar-e-mohabbat

    chitwan kahe deti hai ki ulfat hai use bhi

    kya farz hai munh khol ke iqrar-e-mohabbat

    lazzat wo shakar mein na maza shahd ka aisa

    kuchh aur hai shirini-e-guftar-e-mohabbat

    mahshar mein 'KHayal' aaj karen us ka gila kya

    duniya mein to karte rahe izhaar-e-mohabbat

    Source:

    Deewan-e-Riyaz Hasan Khan Khayal Ma Muqadma (Pg. 84)

    • Author: Riyaz Hasan Khan Khayal
      • Publisher: Bazm-e-Sukhan, Sitamarhi
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now