Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

adawaton ka ye usko sila diya humne

Asra Rizvi

adawaton ka ye usko sila diya humne

Asra Rizvi

MORE BYAsra Rizvi

    adāvatoñ ye us ko sila diyā ham ne

    anā ko us hamīñ meñ Dubā diyā ham ne

    malāl-o-huzn se ho kar guzartī rāhoñ ko

    yaqīn-o-shauq se paiham milā diyā ham ne

    misāl ban ga.ī mahbūb aur habīb zaat

    ye aa.ina sar-e-ālam dikhā diyā ham ne

    tamām jabr-o-tashaddud had bhī ḳhatm huī

    ki jab se sabr ko mehvar banā diyā ham ne

    kisī ḳhayāl aanā muhāl hai ab to

    tasavvurāt ḳhema jalā diyā ham ne

    abhī bhī uñglī uThāne rasm baaqī hai

    har ik sabab ko agarche miTā diyā ham ne

    ab aur ġharq-e-tajassus na ho mirī ḳhātir

    tumheñ to faisla apnā sunā diyā ham ne

    ye lāzmī hai ki 'asrā' bhulā diyā jaa.e

    jo raaz dil zamīñ meñ dabā diyā ham ne

    adawaton ka ye us ko sila diya hum ne

    ana ko us ki hamin mein Duba diya hum ne

    malal-o-huzn se ho kar guzarti rahon ko

    yaqin-o-shauq se paiham mila diya hum ne

    misal ban gai mahbub aur habib ki zat

    ye aaina sar-e-alam dikha diya hum ne

    tamam jabr-o-tashaddud ki had bhi KHatm hui

    ki jab se sabr ko mehwar bana diya hum ne

    kisi KHayal ka aana muhaal hai ab to

    tasawwuraat ka KHema jala diya hum ne

    abhi bhi ungli uThane ki rasm baqi hai

    har ek sabab ko agarche miTa diya hum ne

    ab aur gharq-e-tajassus na ho meri KHatir

    tumhein to faisla apna suna diya hum ne

    ye lazmi hai ki 'asra' bhula diya jae

    jo raaz dil ki zamin mein daba diya hum ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now