Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

adab-nawaz to ho koi fan-shanas to ho

Rahman Khawar

adab-nawaz to ho koi fan-shanas to ho

Rahman Khawar

MORE BYRahman Khawar

    adab-navāz to ho koī fan-shanās to ho

    hameñ bhī shahr meñ jiine koī aas to ho

    ye kyā ki maiñ sahe jā.ūñ rañj-e-tanhā.ī

    mirī tarah kabhī us udaas to ho

    chale to kaise chale silsila mohabbat

    vo be-ruḳhī sahī kuchh na kuchh asaas to ho

    ye aarzū hai kabhī maiñ bhī khiḌkiyāñ kholūñ

    magar galī havā mere ghar ko raas to ho

    lahū lahū hai badan phir bhī zindagī ke liye

    mire laboñ pe koī harf-e-nā-sipās to ho

    is iltifāt ko maiñ kaise be-ruḳhī samjhūñ

    nazar se duur sahī dil ke aas paas to ho

    ye us ke aate kyuuñ chup lag ga.ī 'ḳhāvar'

    vo sāmne hai to kuchh us se iltimās to ho

    adab-nawaz to ho koi fan-shanas to ho

    hamein bhi shahr mein jine ki koi aas to ho

    ye kya ki main hi sahe jaun ranj-e-tanhai

    meri tarah kabhi us ka ji udas to ho

    chale to kaise chale silsila mohabbat ka

    wo be-ruKHi hi sahi kuchh na kuchh asas to ho

    ye aarzu hai kabhi main bhi khiDkiyan kholun

    magar gali ki hawa mere ghar ko ras to ho

    lahu lahu hai badan phir bhi zindagi ke liye

    mere labon pe koi harf-e-na-sipas to ho

    is iltifat ko main kaise be-ruKHi samjhun

    nazar se dur sahi dil ke aas pas to ho

    ye us ke aate hi kyun chup si lag gai 'KHawar'

    wo samne hai to kuchh us se iltimas to ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now