afsos ye naTak sar-e-bazar hua tha
afsos ye nāTak sar-e-bāzār huā thā
maiñ pī ke bahakne pe bahut ḳhvār huā thā
pahle bhī tamāshā to banā hai ye balā-nosh
hotā nahīñ har baar jo is baar huā thā
dāman kī ḳhabar thī na garebāñ kī ḳhabar thī
hālāñki baḌe shauq se tayyār huā thā
maiñ kaun huuñ kis haal meñ huuñ aur kahāñ huuñ
ye baat samajhnā mujhe dushvār huā thā
kyā zamzama-pairā.ī zarūrī thī nashe meñ
maanā ki 'sha'ūr' aap se isrār huā thā
afsos ye naTak sar-e-bazar hua tha
main pi ke bahakne pe bahut KHwar hua tha
pahle bhi tamasha to bana hai ye bala-nosh
hota nahin har bar jo is bar hua tha
daman ki KHabar thi na gareban ki KHabar thi
haalanki baDe shauq se tayyar hua tha
main kaun hun kis haal mein hun aur kahan hun
ye baat samajhna mujhe dushwar hua tha
kya zamzama-pairai zaruri thi nashe mein
mana ki 'sha'ur' aap se israr hua tha
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 151)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.