Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar anar mein wo raushni nahin bharta

Raoof Khair

agar anar mein wo raushni nahin bharta

Raoof Khair

MORE BYRaoof Khair

    agar anaar meñ vo raushnī nahīñ bhartā

    to ḳhāksār dam-e-āgahī nahīñ bhartā

    ye bhuuk pyaas bahar-hāl miT jaatī hai

    magar hai chiiz to aisī ki nahīñ bhartā

    apne aap meñ maanā ki ek dariyā hai

    mirā vajūd bhī kuuza sahī nahīñ bhartā

    ye len-den apnī hadeñ bhī hotī haiñ

    ki peT bhartā hai jholī koī nahīñ bhartā

    hamārā koī bhī nemul-badal nahīñ hogā

    hamārī ḳhālī jagah koī bhī nahīñ bhartā

    muaaf karnā ye ḳhāka kahāñ ubhartā hai

    agar ye dast-e-hunar rañg nahīñ bhartā

    kahāñ ye 'ḳhair' kahāñ haar jiit ḳhadsha

    ki jism o jaan baazī se nahīñ bhartā

    agar anar mein wo raushni nahin bharta

    to KHaksar dam-e-agahi nahin bharta

    ye bhuk pyas bahar-haal miT hi jati hai

    magar hai chiz to aisi ki ji nahin bharta

    tu apne aap mein mana ki ek dariya hai

    mera wajud bhi kuza sahi nahin bharta

    ye len-den ki apni haden bhi hoti hain

    ki peT bharta hai jholi koi nahin bharta

    hamara koi bhi nemul-badal nahin hoga

    hamari KHali jagah koi bhi nahin bharta

    muaf karna ye KHaka kahan ubharta hai

    agar ye dast-e-hunar rang hi nahin bharta

    kahan ye 'KHair' kahan haar jit ka KHadsha

    ki jism o jaan ki bazi se ji nahin bharta

    RECITATIONS

    Raoof Khair

    Raoof Khair,

    Raoof Khair

    agar anar mein wo raushni nahin bharta Raoof Khair

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now