agar gul hai to gul jaisa mahakta kyon nahin hai
agar gul hai to gul jaisā mahaktā kyoñ nahīñ hai
vo jaisā ḳhud ko batlātā hai vaisā kyoñ nahīñ hai
kisī bhī hādse par koī rotā kyoñ nahīñ hai
agar siine meñ dil hai to dhaḌaktā kyoñ nahīñ hai
payambar amn kā kahtā thā jis ko ik zamāna
chhatoñ par ab hamārī vo parinda kyoñ nahīñ hai
hamāre dil ke bujhne kī ḳhabar ham tak hai lekin
falak par aaj raushan koī taara kyoñ nahīñ hai
mujhe ye zid maiñ apnā haal us ko kyoñ sunā.ūñ
vo merā hai to merā dukh samajhtā kyoñ nahīñ hai
diyā tum ne jalāyā hai agar insāf kā to
ujālā is kā mazlūmoñ ko miltā kyoñ nahīñ hai
jo ye sochūñ to dil āñkhoñ meñ aa jaatā hai aksar
hamārā ho kabhī vo ab hamārā kyoñ nahīñ hai
chalā karte the jis kī rahnumā.ī meñ kabhī ham
hamārī raah meñ ab vo sitārā kyoñ nahīñ hai
agar gul hai to gul jaisa mahakta kyon nahin hai
wo jaisa KHud ko batlata hai waisa kyon nahin hai
kisi bhi hadse par koi rota kyon nahin hai
agar sine mein dil hai to dhaDakta kyon nahin hai
payambar amn ka kahta tha jis ko ek zamana
chhaton par ab hamari wo parinda kyon nahin hai
hamare dil ke bujhne ki KHabar hum tak hai lekin
falak par aaj raushan koi tara kyon nahin hai
mujhe ye zid main apna haal us ko kyon sunaun
wo mera hai to mera dukh samajhta kyon nahin hai
diya tum ne jalaya hai agar insaf ka to
ujala is ka mazlumon ko milta kyon nahin hai
jo ye sochun to dil aankhon mein aa jata hai aksar
hamara ho kabhi wo ab hamara kyon nahin hai
chala karte the jis ki rahnumai mein kabhi hum
hamari rah mein ab wo sitara kyon nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.