Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar hai zindagi ek jashn to na-mehrban kyon hai

Ameeta Parsuram Meeta

agar hai zindagi ek jashn to na-mehrban kyon hai

Ameeta Parsuram Meeta

MORE BYAmeeta Parsuram Meeta

    agar hai zindagī ik jashn to nā-mehrbāñ kyoñ hai

    fasurda rañg meñ Duubī huī har dāstāñ kyoñ hai

    tumheñ ham se mohabbat hai hameñ tum se mohabbat hai

    anā dā.era phir bhī hamāre darmiyāñ kyoñ hai

    vahī sab kuchh razā us to phir dil meñ gumāñ kyoñ hai

    savāloñ aur javāboñ se pareshāñ merī jaañ kyoñ hai

    har ik manzar ke pas-manzar meñ terā karishma hai

    yaqīnan ḳhāliq-e-kun to āñkhoñ se nihāñ kyoñ hai

    tujhī ko hai mayassar har burā.ī daman karnā

    to nā-insāfiyoñ ke daur meñ be-zabāñ kyoñ hai

    agar hai zindagi ek jashn to na-mehrban kyon hai

    fasurda rang mein Dubi hui har dastan kyon hai

    tumhein hum se mohabbat hai hamein tum se mohabbat hai

    ana ka daera phir bhi hamare darmiyan kyon hai

    wahi sab kuchh raza us ki to phir dil mein guman kyon hai

    sawalon aur jawabon se pareshan meri jaan kyon hai

    har ek manzar ke pas-manzar mein tera hi karishma hai

    yaqinan KHaliq-e-kun tu to aankhon se nihan kyon hai

    tujhi ko hai mayassar har burai ka daman karna

    to na-insafiyon ke daur mein tu be-zaban kyon hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now