agar hamare hi dil mein Thikana chahiye tha

Shakeel Jamali

agar hamare hi dil mein Thikana chahiye tha

Shakeel Jamali

MORE BYShakeel Jamali

  agar hamāre dil meñ Thikānā chāhiye thā

  to phir tujhe zarā pahle batānā chāhiye thā

  chalo hamī sahī saarī burā.iyoñ sabab

  magar tujhe bhī zarā nibhānā chāhiye thā

  agar nasīb meñ tārīkiyāñ likkhī thiiñ

  to phir charāġh havā meñ jalānā chāhiye thā

  mohabbatoñ ko chhupāte ho buz-diloñ tarah

  ye ishtihār galī meñ lagānā chāhiye thā

  jahāñ usuul ḳhatā meñ shumār hote hoñ

  vahāñ vaqār nahīñ sar bachānā chāhiye thā

  lagā ke baiTh ga.e dil ko rog chāhat

  ye umr vo thī ki khānā kamānā chāhiye thā

  agar hamare hi dil mein Thikana chahiye tha

  to phir tujhe zara pahle batana chahiye tha

  chalo hami sahi sari buraiyon ka sabab

  magar tujhe bhi zara sa nibhana chahiye tha

  agar nasib mein tarikiyan hi likkhi thin

  to phir charagh hawa mein jalana chahiye tha

  mohabbaton ko chhupate ho buz-dilon ki tarah

  ye ishtihaar gali mein lagana chahiye tha

  jahan usul KHata mein shumar hote hon

  wahan waqar nahin sar bachana chahiye tha

  laga ke baiTh gae dil ko rog chahat ka

  ye umr wo thi ki khana kamana chahiye tha

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Shakeel Jamali

  Shakeel Jamali

  RECITATIONS

  Shakeel Jamali

  Shakeel Jamali

  Shakeel Jamali

  agar hamare hi dil mein Thikana chahiye tha Shakeel Jamali

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY