Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar irfan-e-hasti uqda-e-mushkil nahin hota

Iftikhar Ahamad Siddiqi

agar irfan-e-hasti uqda-e-mushkil nahin hota

Iftikhar Ahamad Siddiqi

MORE BYIftikhar Ahamad Siddiqi

    agar irfān-e-hastī uqda-e-mushkil nahīñ hotā

    to phir insāniyat koī mustaqbil nahīñ hotā

    junūn-e-shauq apne farz se ġhāfil nahīñ hotā

    bhaTaktā hai magar āvāra-e-manzil nahīñ hotā

    masā.ib ke sabab ye zindagī dushvār ho jaatī

    agar lazzat-kash-e-dard-e-mohabbat dil nahīñ hotā

    husūl-e-āfiyat be-ranj-o-mehnat jis maqsad ho

    to vo insān duniyā meñ kisī qābil nahīñ hotā

    junūn-e-shauq ne ye baat duniyā ko batā hai

    ḳhirad jalva-farmā.ī jahāñ ho dil nahīñ hotā

    ye taḳhlīqī madārij haiñ ki har-kāre-o-har-marde

    vo nādāñ hai jo is tafrīq qaa.il nahīñ hotā

    mashiyyat ko agar insān se koī alag samjhe

    vo ahl-e-aql ho saktā hai ahl-e-dil nahīñ hotā

    agar irfan-e-hasti uqda-e-mushkil nahin hota

    to phir insaniyat ka koi mustaqbil nahin hota

    junun-e-shauq apne farz se ghafil nahin hota

    bhaTakta hai magar aawara-e-manzil nahin hota

    masaib ke sabab ye zindagi dushwar ho jati

    agar lazzat-kash-e-dard-e-mohabbat dil nahin hota

    husul-e-afiyat be-ranj-o-mehnat jis ka maqsad ho

    to wo insan duniya mein kisi qabil nahin hota

    junun-e-shauq ne ye baat duniya ko bata di hai

    KHirad ki jalwa-farmai jahan ho dil nahin hota

    ye taKHliqi madarij hain ki har-kare-o-har-marde

    wo nadan hai jo is tafriq ka qail nahin hota

    mashiyyat ko agar insan se koi alag samjhe

    wo ahl-e-aql ho sakta hai ahl-e-dil nahin hota

    Source:

    (Pg. 93)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now