Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar main harf-e-ghalat hun to raegan kar de

Husain Khan Danish

agar main harf-e-ghalat hun to raegan kar de

Husain Khan Danish

MORE BYHusain Khan Danish

    agar maiñ harf-e-ġhalat huuñ to rā.egāñ kar de

    maiñ jis varaq pe milūñ us dhajjiyāñ kar de

    karam-navāz agar hai to itnī zahmat kar

    mujhe zamīñ se uThā aur āsmāñ kar de

    ai chārāgar vo davā DhūñDh ilm-e-hikmat meñ

    jo mere sho.ala-e-ġham ko dhuāñ dhuāñ kar de

    anā-parastī ke jo toḌ de gharoñdoñ ko

    mujhe ḳhulūs vo mauj-e-be-karāñ kar de

    zabān hai to phūloñ guftugū bhī de

    jalā ke raakh nahīñ mirī zabāñ kar de

    maiñ thak chukā huuñ bahut dhuup safar karte

    duā maañ mire sar pe sā.ebāñ kar de

    paḌhe zamāna baḌe shauq se mujhe 'dānish'

    mire vajūd ko ik aisī dāstāñ kar de

    agar main harf-e-ghalat hun to raegan kar de

    main jis waraq pe milun us ki dhajjiyan kar de

    karam-nawaz agar hai to itni zahmat kar

    mujhe zamin se uTha aur aasman kar de

    ai chaaragar wo dawa DhunDh ilm-e-hikmat mein

    jo mere shoala-e-gham ko dhuan dhuan kar de

    ana-parasti ke jo toD de gharondon ko

    mujhe KHulus ki wo mauj-e-be-karan kar de

    zaban di hai to phulon si guftugu bhi de

    jala ke rakh nahin tu meri zaban kar de

    main thak chuka hun bahut dhup ka safar karte

    dua ka man tu mere sar pe saeban kar de

    paDhe zamana baDe shauq se mujhe 'danish'

    mere wajud ko ek aisi dastan kar de

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 172)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now