Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar main jaanta hai ishq mein dhaDka judai ka

Meer Soz

agar main jaanta hai ishq mein dhaDka judai ka

Meer Soz

MORE BYMeer Soz

    agar maiñ jāntā hai ishq meñ dhaḌkā judā.ī

    to jiite na letā naam hargiz āshnā.ī

    jo āshiq saaf haiñ dil se unhīñ ko qatl karte haiñ

    baḌā charchā hai māshūqoñ meñ āshiq-āzmā.ī

    karūñ ik pal meñ barham kār-ḳhāne ko mohabbat ke

    agar aalam meñ shohra duuñ tumhārī bevafā.ī

    jafā mehr jo chāhe so kar le apne bandoñ par

    mujhe ḳhatra nahīñ hargiz burā.ī bhalā.ī

    na pahuñchā āh-o-nāla gosh tak us ke kabhū apnā

    bayāñ ham kyā kareñ taal.e apne nā-rasā.ī

    ḳhudāyā kis ke ham bande kahāveñ saḳht mushkil hai

    rakhe hai har sanam is dahr meñ daavā ḳhudā.ī

    ḳhudā bandagī 'soz' hai daavā to ḳhilqat ko

    vale dekhā jise banda hai apnī ḳhud-numā.ī

    agar main jaanta hai ishq mein dhaDka judai ka

    to jite ji na leta nam hargiz aashnai ka

    jo aashiq saf hain dil se unhin ko qatl karte hain

    baDa charcha hai mashuqon mein aashiq-azmai ka

    karun ek pal mein barham kar-KHane ko mohabbat ke

    agar aalam mein shohra dun tumhaari bewafai ka

    jafa ya mehr jo chahe so kar le apne bandon par

    mujhe KHatra nahin hargiz burai ya bhalai ka

    na pahuncha aah-o-nala gosh tak us ke kabhu apna

    bayan hum kya karen tale ki apne na-rasai ka

    KHudaya kis ke hum bande kahawen saKHt mushkil hai

    rakhe hai har sanam is dahr mein dawa KHudai ka

    KHuda ki bandagi ka 'soz' hai dawa to KHilqat ko

    wale dekha jise banda hai apni KHud-numai ka

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    agar main jaanta hai ishq mein dhaDka judai ka Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now