Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar mizaj hi mein gard gard hona tha

Sahartab Roomani

agar mizaj hi mein gard gard hona tha

Sahartab Roomani

MORE BYSahartab Roomani

    agar mizāj meñ gard gard honā thā

    to phir janāb ko sahrā-navard honā thā

    use pasand bahut niile vaale patthar haiñ

    mujhe aqiiq nahīñ lāj-vard honā thā

    tumheñ ye shahr basāne kyā zarūrat thī

    tumheñ to apne qabīle fard honā thā

    ye ek soch musalsal jalā rahī thī mujhe

    mire ḳhayāl ke mausam ko sard honā thā

    'sahar' nahīñ thā koī aur dūsrā rasta

    havas aag se jismoñ ko zard honā thā

    agar mizaj hi mein gard gard hona tha

    to phir janab ko sahra-naward hona tha

    use pasand bahut nile wale patthar hain

    mujhe aqiq nahin laj-ward hona tha

    tumhein ye shahr basane ki kya zarurat thi

    tumhein to apne qabile ka fard hona tha

    ye ek soch musalsal jala rahi thi mujhe

    mere KHayal ke mausam ko sard hona tha

    'sahar' nahin tha koi aur dusra rasta

    hawas ki aag se jismon ko zard hona tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now