Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar na dard se is dil ko aashna karte

Mahir Bilgrami

agar na dard se is dil ko aashna karte

Mahir Bilgrami

MORE BYMahir Bilgrami

    agar na dard se is dil ko āshnā karte

    ġham-e-hayāt kis tarah tajziyā karte

    ḳhudā-na-ḳhvāsta kashtī jo Dūbne lagtī

    sivā ḳhudā ke bhalā kyā ye nāḳhudā karte

    ajab nahīñ thā ki aa jaatā hosh meñ bīmār

    qarīb aa ke jo dāman se vo havā karte

    kaTī tasavvur-e-hūrān-e-ḳhuld meñ jin

    hamāre un ke bhalā kyā vo tasfiya karte

    ham aise riñd pas-e-marg bhī vahāñ jaate

    na piinā jurm ho hukaman jahāñ piyā karte

    saḳhī ke sāmne phaile hue haiñ jin ke haath

    ham aise logoñ se kyā arz-e-mudda.ā karte

    ye dard-e-dil to hai is zindagī mutarādif

    maraz agar koī hotā to kuchh davā karte

    na hote dil se jo majbūr kar ke tark-e-vafā

    use bhī ham zarā taḌpā ke tajraba karte

    tunak-mizājī-e-ḳhūbāñ gar patā hotā

    manāte phir unheñ pahle to ham ḳhafā karte

    ga.e haiñ dair-o-haram ho ke lā-makāñ taraf

    qayām rahrav-e-manzil yuuñ jā-ba-jā karte

    uThāyā maslahatan ham ne ḳhuun da.avā

    kisī aañkh sar-e-hashr nīchī kyā karte

    na pās-e-laġhzish-e-ādam agar hameñ hotā

    ilaaj terā bhī ai dev-e-ishtihā karte

    na hotī apne parā.e phir hameñ tam.īz

    daġhā na mil ke agar yaar āshnā karte

    niyāz-o-nāz na yuuñ hote lāzim-o-malzūm

    na yuuñ kisī ke ishāroñ pe ham chalā karte

    darūn-e-dil sadā hai magar ġhazal 'māhir'

    ki sher sher pe sāme.a haiñ vāh-vā karte

    agar na dard se is dil ko aashna karte

    gham-e-hayat ka kis tarah tajziya karte

    KHuda-na-KHwasta kashti jo Dubne lagti

    siwa KHuda ke bhala kya ye naKHuda karte

    ajab nahin tha ki aa jata hosh mein bimar

    qarib aa ke jo daman se wo hawa karte

    kaTi tasawwur-e-huran-e-KHuld mein jin ki

    hamare un ke bhala kya wo tasfiya karte

    hum aise rind pas-e-marg bhi wahan jate

    na pina jurm ho hukaman jahan piya karte

    saKHi ke samne phaile hue hain jin ke hath

    hum aise logon se kya arz-e-muddaa karte

    ye dard-e-dil to hai is zindagi ka mutaradif

    maraz agar koi hota to kuchh dawa karte

    na hote dil se jo majbur kar ke tark-e-wafa

    use bhi hum zara taDpa ke tajraba karte

    tunak-mizaji-e-KHuban ka gar pata hota

    manate phir unhen pahle to hum KHafa karte

    gae hain dair-o-haram ho ke la-makan ki taraf

    qayam rahraw-e-manzil yun ja-ba-ja karte

    uThaya maslahatan hum ne KHun ka dawa

    kisi ki aankh sar-e-hashr nichi kya karte

    na pas-e-laghzish-e-adam agar hamein hota

    ilaj tera bhi ai dew-e-ishtiha karte

    na hoti apne parae ki phir hamein tamiz

    dagha na mil ke agar yar aashna karte

    niyaz-o-naz na yun hote lazim-o-malzum

    na yun kisi ke ishaaron pe hum chala karte

    darun-e-dil ki sada hai magar ghazal 'mahir'

    ki sher sher pe samea hain wah-wa karte

    Source:

    Saamaan-e-Sar-Khushi (Pg. 272)

    • Author: Mahir Bilgrami
      • Edition: 1988
      • Publisher: Bilgrami Publication, Lakhnow
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now