Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar wo gul-badan dariya nahane be-hijab aawe

Abdul Wahab yakro

agar wo gul-badan dariya nahane be-hijab aawe

Abdul Wahab yakro

MORE BYAbdul Wahab yakro

    agar vo gul-badan dariyā nahāne be-hijāb aave

    ta.ajjub nahiñ ki sab paanī satī bū-e-gulāb aave

    jidhāñ dekhūñ bahārāñ meñ nashāt-e-bulbul-o-qumrī

    mujhe us vaqt be-shak yaad ayyām-e-shabāb aave

    mirā afsāna o afsūñ tire kan sabz kyūñke ho

    siyah mizhgāñ tumhārī dekh ke sabze kuuñ ḳhvāb aave

    mirī añkhiyāñ phaḌaktī haiñ yaqīñ hai dil manīñ yārāñ

    ki naame kuuñ piyāre ke kabūtar le shitāb aave

    siyah-mastāñ ke aage siiñ nikalnā hai nipaT mushkil

    agar hoshyār tujh añkhiyāñ ke ta.iiñ dekhe ḳharāb aave

    darañg ik dam nahīñ lāzim judā.ī siiñ phaḌaktā hai

    kaho kar ḳhush-abrū kuuñ ki 'yakrū' kan shitāb aave

    agar wo gul-badan dariya nahane be-hijab aawe

    tajjub nahin ki sab pani sati bu-e-gulab aawe

    jidhan dekhun bahaaran mein nashat-e-bulbul-o-qumri

    mujhe us waqt be-shak yaad ayyam-e-shabab aawe

    mera afsana o afsun tere kan sabz kyunke ho

    siyah mizhgan tumhaari dekh ke sabze kun KHwab aawe

    meri ankhiyan phaDakti hain yaqin hai dil manin yaran

    ki name kun piyare ke kabutar le shitab aawe

    siyah-mastan ke aage sin nikalna hai nipaT mushkil

    agar hoshyar tujh ankhiyan ke tain dekhe KHarab aawe

    darang ek dam nahin lazim judai sin phaDakta hai

    kaho ja kar KHush-abru kun ki 'yakru' kan shitab aawe

    Source:

    diwan-e-yakro (Pg. 76)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now