aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar wo hadisa phir se hua to

Nazeer Nazar

agar wo hadisa phir se hua to

Nazeer Nazar

MORE BYNazeer Nazar

    agar vo hādisa phir se huā to

    maiñ tere ishq meñ phir paḌ gayā to

    ki us rūThnā bhī lāzmī hai

    manā lūñgā agar hogā ḳhafā to

    mirī uljhan sulajhtī rahī hai

    dikhāyā hai tumhī ne rāsta to

    yaqīnan rāz-e-dil maiñ khol dūñgā

    diyā apnā jo us ne vāsta to

    chalo kuchh der ro leñ saath mil kar

    koī lamha ḳhushī mil gayā to

    tujhe mahfūz kar luuñ zehn-o-dil meñ

    milā hai kahīñ phir kho gayā to

    nayā rishta nibhāne talab meñ

    agar TuuTā purānā rābta to

    kaleje se lagā kar rakhte ham bhī

    hameñ vo raaz apne sauñptā to

    'nazar' tum zindagī samjhe ho jis ko

    faqat paanī ho vo bulbula to

    agar wo hadisa phir se hua to

    main tere ishq mein phir paD gaya to

    ki us ka ruThna bhi lazmi hai

    mana lunga agar hoga KHafa to

    meri uljhan sulajhti ja rahi hai

    dikhaya hai tumhi ne rasta to

    yaqinan raaz-e-dil main khol dunga

    diya apna jo us ne wasta to

    chalo kuchh der ro len sath mil kar

    koi lamha KHushi ka mil gaya to

    tujhe mahfuz kar lun zehn-o-dil mein

    mila hai tu kahin phir kho gaya to

    naya rishta nibhane ki talab mein

    agar TuTa purana rabta to

    kaleje se laga kar rakhte hum bhi

    hamein wo raaz apne saunpta to

    'nazar' tum zindagi samjhe ho jis ko

    faqat pani ka ho wo bulbula to

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now