agar ye puchh liya to meri KHata kya hai
agar ye pūchh liyā to mirī ḳhatā kyā hai
tumhāre jaur-e-musalsal kī intihā kyā hai
azal se vaqt ke hāthoñ meñ ik khilaunā huuñ
ḳhabar nahīñ mirī taqdīr meñ likhā kyā hai
talāsh-e-sub.h-e-tamannā kahāñ pe Thahregī
ye kaun jaane shab-e-ġham kī intihā kyā hai
luTe hue to kisī qāfile ko der huī
magar ye raah meñ ab tak ġhubār sā kyā hai
maiñ bahr-e-zīst meñ misl-e-habāb huuñ 'ambar'
mire vujūd kā maqsad ba-juz fanā kyā hai
agar ye puchh liya to meri KHata kya hai
tumhaare jaur-e-musalsal ki intiha kya hai
azal se waqt ke hathon mein ek khilauna hun
KHabar nahin meri taqdir mein likha kya hai
talash-e-subh-e-tamanna kahan pe Thahregi
ye kaun jaane shab-e-gham ki intiha kya hai
luTe hue to kisi qafile ko der hui
magar ye rah mein ab tak ghubar sa kya hai
main bahr-e-zist mein misl-e-habab hun 'ambar'
mere wujud ka maqsad ba-juz fana kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.