Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agarche saKHt safar hai dhuan ghana hoga

Dhruv Gupt

agarche saKHt safar hai dhuan ghana hoga

Dhruv Gupt

MORE BYDhruv Gupt

    agarche saḳht safar hai dhuāñ ghanā hogā

    kahīñ koī to mirī raah dekhtā hogā

    tamām hotā kahāñ hai kabhī nadī safar

    vo mile to samundar bhī rāsta hogā

    azaab aa.e sitam aa.e sāneha aa.e

    maiñ muntazir huuñ ki kuchh ziist meñ nayā hogā

    maiñ mar gayā to mirī buzdilī ḳhabar hogī

    maiñ gayā to tirā shukriya adā hogā

    sitāre Taañk rahā hai jo ḳhvāb meñ sab ke

    vo surḳhiyoñ se ḳhabar lāpata hogā

    vo jis ne ham ko bhulāve zindagī hai

    zarūr us ne koī rāsta diyā hogā

    agarche saKHt safar hai dhuan ghana hoga

    kahin koi to meri rah dekhta hoga

    tamam hota kahan hai kabhi nadi ka safar

    wo ja mile to samundar bhi rasta hoga

    azab aae sitam aae saneha aae

    main muntazir hun ki kuchh zist mein naya hoga

    main mar gaya to meri buzdili KHabar hogi

    main ji gaya to tera shukriya ada hoga

    sitare Tank raha hai jo KHwab mein sab ke

    wo surKHiyon se KHabar ki hi lapata hoga

    wo jis ne hum ko bhulawe si zindagi di hai

    zarur us ne koi rasta diya hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now