agarche zor hawaon ne Dal rakkha hai
agarche zor havāoñ ne Daal rakkhā hai
magar charāġh ne lau ko sambhāl rakkhā hai
mohabbatoñ meñ to milnā hai yā ujaḌ jaanā
mizāj-e-ishq meñ kab e'tidāl rakkhā hai
havā meñ nashsha hī nashsha fazā meñ rañg hī rañg
ye kis ne pairahan apnā uchhāl rakkhā hai
bhale dinoñ kā bharosā hī kyā raheñ na raheñ
so maiñ ne rishta-e-ġham ko bahāl rakkhā hai
ham aise sāda-diloñ ko vo dost ho ki ḳhudā
sabhī ne vāda-e-fardā pe Taal rakkhā hai
hisāb-e-lutf-e-harīfāñ kiyā hai jab to khulā
ki dostoñ ne ziyāda ḳhayāl rakkhā hai
bharī bahār meñ ik shāḳh par khilā hai gulāb
ki jaise tū ne hathelī pe gaal rakkhā hai
'farāz' ishq kī duniyā to ḳhūb-sūrat thī
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visāl rakkhā hai
agarche zor hawaon ne Dal rakkha hai
magar charagh ne lau ko sambhaal rakkha hai
mohabbaton mein to milna hai ya ujaD jaana
mizaj-e-ishq mein kab e'tidal rakkha hai
hawa mein nashsha hi nashsha faza mein rang hi rang
ye kis ne pairahan apna uchhaal rakkha hai
bhale dinon ka bharosa hi kya rahen na rahen
so main ne rishta-e-gham ko bahaal rakkha hai
hum aise sada-dilon ko wo dost ho ki KHuda
sabhi ne wada-e-farda pe Tal rakkha hai
hisab-e-lutf-e-harifan kiya hai jab to khula
ki doston ne ziyaada KHayal rakkha hai
bhari bahaar mein ek shaKH par khila hai gulab
ki jaise tu ne hatheli pe gal rakkha hai
'faraaz' ishq ki duniya to KHub-surat thi
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visal rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.