Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ahbab bhi hain KHub ki tashhir kar gae

Sahba Waheed

ahbab bhi hain KHub ki tashhir kar gae

Sahba Waheed

MORE BYSahba Waheed

    ahbāb bhī haiñ ḳhuub ki tash.hīr kar ga.e

    merā sukūt ishq se ta.abīr kar ga.e

    jādū-asar the hoñT ki sāġhar ko chuum kar

    kuchh aur sharāb tāsīr kar ga.e

    har uzv jaise jism thā boltā huā

    lahrā.e us ke haath ki taqrīr kar ga.e

    az-bām tā-ba-mai-kada gesū dhuāñ dhuāñ

    aalam tamām halqa-e-zanjīr kar ga.e

    tahrīr-e-ḳhatt-e-jām se sab hue rumūz

    ham uqda-e-miyān tadbīr kar ga.e

    haañ kātibān-e-nāma-e-a.amāl ko thī kad

    kuchh aur merī fard meñ tahrīr kar ga.e

    'sahbā' vo ek lafz thā dīvār likhā

    ham jo miTe to ishq tauqīr kar ga.e

    ahbab bhi hain KHub ki tashhir kar gae

    mera sukut ishq se tabir kar gae

    jadu-asar the honT ki saghar ko chum kar

    kuchh aur hi sharab ki tasir kar gae

    har uzw jaise jism ka tha bolta hua

    lahrae us ke hath ki taqrir kar gae

    az-baam ta-ba-mai-kada gesu dhuan dhuan

    aalam tamam halqa-e-zanjir kar gae

    tahrir-e-KHatt-e-jam se sab wa hue rumuz

    hum uqda-e-miyan ki tadbir kar gae

    han katiban-e-nama-e-amal ko thi kad

    kuchh aur meri fard mein tahrir kar gae

    'sahba' wo ek lafz tha diwar ka likha

    hum jo miTe to ishq ki tauqir kar gae

    Source:

    Shab Khoon(Shumara Number-058) (Pg. ebook-34 page-32)

      • Edition: 1971
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now