ahbab ho gae hain bahut mujhse bad-guman
ahbāb ho ga.e haiñ bahut mujh se bad-gumān
qaiñchī kī tarah chalne lagī hai mirī zabān
ik baat merī un kī tavajjoh na pā sakī
kahte the log hote haiñ dīvār ke bhī kaan
khiḌkī ko khol kar to kisī roz jhāñk lo
ḳhālī hai āj-kal mire ehsās kā makān
tanhā udaas kamre meñ baiThā huā thā maiñ
ik lafz ne bikher diye mushk o za.afrān
paanī kā ruḳh badalne ko maare haath paañv
ik aadmī jo ḳhud ko batātā rahā chaTān
ḳhud ko sambhāl pā.egā maiñ kis tarah kahūñ
sūkhā daraḳht tez havāoñ ke darmiyān
ik din meñ apne ghar ke khulī chhat pe chaḌh gayā
mujh ko zamīn par nazar aayā ik āsmān
ahbab ho gae hain bahut mujh se bad-guman
qainchi ki tarah chalne lagi hai meri zaban
ek baat meri un ki tawajjoh na pa saki
kahte the log hote hain diwar ke bhi kan
khiDki ko khol kar to kisi roz jhank lo
KHali hai aaj-kal mere ehsas ka makan
tanha udas kamre mein baiTha hua tha main
ek lafz ne bikher diye mushk o zafran
pani ka ruKH badalne ko mare hath panw
ek aadmi jo KHud ko batata raha chaTan
KHud ko sambhaal paega main kis tarah kahun
sukha daraKHt tez hawaon ke darmiyan
ek din mein apne ghar ke khuli chhat pe chaDh gaya
mujh ko zamin par nazar aaya ek aasman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.