Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ahd-e-nau tariKH-e-la-mahdud ki baaten karen

Siddiq Fatahpuri

ahd-e-nau tariKH-e-la-mahdud ki baaten karen

Siddiq Fatahpuri

MORE BYSiddiq Fatahpuri

  ahd-e-nau tārīḳh-e-lā-mahdūd bāteñ kareñ

  aao baiTheñ lamha-e-maujūd bāteñ kareñ

  DhūñD kar laa.eñ kahīñ se ham bhī andāz-e-ayāz

  qasr-e-sultāñ meñ dil-e-mahmūd bāteñ kareñ

  aag ThanDī kis tarah ho kis tarah aa.e bahār

  gulshan-e-hastī meñ ham bahbūd bāteñ kareñ

  ātish-e-namrūd sehn-e-gul banā thā aur ham

  sehn-e-gul meñ ātish-e-namrūd bāteñ kareñ

  nafratoñ aag shahr-e-dil ko ḳhākistar kare

  is se pahle sā.at-e-mas.ūd bāteñ kareñ

  kaise manzil par pahuñch sakte haiñ bhaTke qāfile

  rāhzan jab manzil-e-maqsūd bāteñ kareñ

  bārgāh-e-rab meñ ho maqbūl har harf-e-duā

  sidq-e-dil se ham agar ma.abūd bāteñ kareñ

  vajd meñ aa.eñ parinde ab bhī aahan mom ho

  ham bhī gar āvāz meñ dā.ūd bāteñ kareñ

  sajda-rezī meñ vahī aa.e maza 'siddīq' phir

  jab samīm-e-qalb se masjūd bāteñ kareñ

  ahd-e-nau tariKH-e-la-mahdud ki baaten karen

  aao baiThen lamha-e-maujud ki baaten karen

  DhunD kar laen kahin se hum bhi andaz-e-ayaz

  qasr-e-sultan mein dil-e-mahmud ki baaten karen

  aag ThanDi kis tarah ho kis tarah aae bahaar

  gulshan-e-hasti mein hum bahbud ki baaten karen

  aatish-e-namrud sehn-e-gul bana tha aur hum

  sehn-e-gul mein aatish-e-namrud ki baaten karen

  nafraton ki aag shahr-e-dil ko KHakistar kare

  is se pahle saat-e-masud ki baaten karen

  kaise manzil par pahunch sakte hain bhaTke qafile

  rahzan jab manzil-e-maqsud ki baaten karen

  bargah-e-rab mein ho maqbul har harf-e-dua

  sidq-e-dil se hum agar mabud ki baaten karen

  wajd mein aaen parinde ab bhi aahan mom ho

  hum bhi gar aawaz mein daud ki baaten karen

  sajda-rezi mein wahi aae maza 'siddiq' phir

  jab samim-e-qalb se masjud ki baaten karen

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now