Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ahl-e-dil bhi dekhiye ab kya se kya karne lage

Abdullah Bahar

ahl-e-dil bhi dekhiye ab kya se kya karne lage

Abdullah Bahar

MORE BYAbdullah Bahar

    ahl-e-dil bhī dekhiye ab kyā se kyā karne lage

    shīshagar bhī pattharoñ se mashvara karne lage

    de diyā hai tajrabāt-e-zindagī ko ruḳh nayā

    aaj ham apne ta.iiñ har faisla karne lage

    mas.aloñ hal nazar aa.egā kaise dosto

    ham dar-e-aġhyār par jab iltijā karne lage

    is liye vo jūjhte haiñ roz-o-shab hālāt se

    jo zarā baat par jhagḌā khaḌā karne lage

    ye siyāsī log banjāroñ key tarah dekhiye

    bastiyoñ se duur kar ratjagā karne lage

    hazrat-e-ayyūb ko kyā paḌh liyā tum ne 'bahār'

    sābiroñ zindagī par tabsira karne lage

    ahl-e-dil bhi dekhiye ab kya se kya karne lage

    shishagar bhi pattharon se mashwara karne lage

    de diya hai tajrabaat-e-zindagi ko ruKH naya

    aaj hum apne tain har faisla karne lage

    masalon ka hal nazar aaega kaise dosto

    hum dar-e-aghyar par jab iltija karne lage

    is liye wo jujhte hain roz-o-shab haalat se

    jo zara si baat par jhagDa khaDa karne lage

    ye siyasi log banjaron key tarah dekhiye

    bastiyon se dur ja kar ratjaga karne lage

    hazrat-e-ayyub ko kya paDh liya tum ne 'bahaar'

    sabiron ki zindagi par tabsira karne lage

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now