Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ahl-e-ishq ki hasti kya ajib hasti hai

Rishi Patialvi

ahl-e-ishq ki hasti kya ajib hasti hai

Rishi Patialvi

MORE BYRishi Patialvi

    ahl-e-ishq hastī kyā ajiib hastī hai

    marg-e-nā-gahānī ko zindagī tarastī hai

    naam hai sukūñ jis jins vo nahīñ miltī

    ashk jis hāsil haiñ vo ḳhushī to sastī hai

    jis jagah mohabbat se husn-o-ishq milte haiñ

    kaun vo duniyā hai kaun vo bastī hai

    sau tarah rulātī hai bhuul kar agar hañsiye

    roiye to ye duniyā khilkhilā ke hañstī hai

    kyā zarūr kar ham surūr meñ aa.eñ

    vo nazar salāmat hai be-piye mastī hai

    jalva-hā-e-rañg-o-bū dil meñ kyā jagah paa.eñ

    aañkh meñ jo bastā hai dil to us bastī hai

    dūsre ke sāġhar par jo nazar nahīñ rakhte

    un mai-parastī meñ shān-e-haq-parastī hai

    kis mai-farosh āñkheñ bas ga.iiñ tasavvur meñ

    be-niyāz jām-o-mai apnī mai-parastī hai

    dil unheñ tarastā hai jab vo duur hote haiñ

    jab qarīb aate haiñ aañkh unheñ tarastī hai

    ham ne ishq-o-ulfat meñ vo fareb khaa.e haiñ

    jin dil-farebī ko zindagī tarastī hai

    sadqe āsmāñ-jāhī tere ḳhāksāroñ par

    rashk-e-sad-bulandī hai ishq meñ jo pastī hai

    be-sabāt paatā huuñ aksar un umīdoñ ko

    haa.e jin umīdoñ par inhisār-e-hastī hai

    jab zarā ḳhayāl aayā hosh ho ga.e ruḳhsat

    ai 'rishī' un āñkhoñ meñ kis balā mastī hai

    ahl-e-ishq ki hasti kya ajib hasti hai

    marg-e-na-gahani ko zindagi tarasti hai

    nam hai sukun jis ka jins wo nahin milti

    ashk jis ka hasil hain wo KHushi to sasti hai

    jis jagah mohabbat se husn-o-ishq milte hain

    kaun si wo duniya hai kaun si wo basti hai

    sau tarah rulati hai bhul kar agar hansiye

    roiye to ye duniya khilkhila ke hansti hai

    kya zarur pi kar hi hum surur mein aaen

    wo nazar salamat hai be-piye hi masti hai

    jalwa-ha-e-rang-o-bu dil mein kya jagah paen

    aankh mein jo basta hai dil to us ki basti hai

    dusre ke saghar par jo nazar nahin rakhte

    un ki mai-parasti mein shan-e-haq-parasti hai

    kis ki mai-farosh aankhen bas gain tasawwur mein

    be-niyaz jam-o-mai apni mai-parasti hai

    dil unhen tarasta hai jab wo dur hote hain

    jab qarib aate hain aankh unhen tarasti hai

    hum ne ishq-o-ulfat mein wo fareb khae hain

    jin ki dil-farebi ko zindagi tarasti hai

    sadqe aasman-jahi tere KHaksaron par

    rashk-e-sad-bulandi hai ishq mein jo pasti hai

    be-sabaat pata hun aksar un umidon ko

    hae jin umidon par inhisar-e-hasti hai

    jab zara KHayal aaya hosh ho gae ruKHsat

    ai 'rishi' un aankhon mein kis bala ki masti hai

    Source:

    Reg-e-Rawan (Pg. 79)

    • Author: Rishi Patialvi
      • Edition: 1972
      • Publisher: Koh-e-Noor Book Depot, New Delhi
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now