Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ahl-e-KHirad ko ahl-e-nazar ka pata chala

Firdaus Gayavi

ahl-e-KHirad ko ahl-e-nazar ka pata chala

Firdaus Gayavi

MORE BYFirdaus Gayavi

    ahl-e-ḳhirad ko ahl-e-nazar pata chalā

    nikle to kitne shams-o-qamar pata chalā

    samjhe the ham ki sahl hai ye jāda-e-hayāt

    aage baḌhe to saḳht Dagar pata chalā

    ab tak mirī nigāh meñ pāyāb thī nadī

    jab Dūbne lage to bhañvar pata chalā

    nikle the ham to shahr thā gunjān duur tak

    lauTe to phir kisī ke na ghar pata chalā

    shohrat hamārī phail ga.ī hai jahān meñ

    muddat ke baad apne hunar pata chalā

    'firdaus' dhuup dhuup chalā zindagī raah

    us ko na sāya-dār shajar pata chalā

    ahl-e-KHirad ko ahl-e-nazar ka pata chala

    nikle to kitne shams-o-qamar ka pata chala

    samjhe the hum ki sahl hai ye jada-e-hayat

    aage baDhe to saKHt Dagar ka pata chala

    ab tak meri nigah mein payab thi nadi

    jab Dubne lage to bhanwar ka pata chala

    nikle the hum to shahr tha gunjaan dur tak

    lauTe to phir kisi ke na ghar ka pata chala

    shohrat hamari phail gai hai jahan mein

    muddat ke baad apne hunar ka pata chala

    'firdaus' dhup dhup chala zindagi ki rah

    us ko na saya-dar shajar ka pata chala

    Source:

    (Pg. 197)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now