Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai andhere raushni ki zad mein aana chhoD de

Aalam Nizami

ai andhere raushni ki zad mein aana chhoD de

Aalam Nizami

MORE BYAalam Nizami

    ai añdhere raushnī zad meñ aanā chhoḌ de

    āftāb-e-vaqt par unglī uThānā chhoḌ de

    ḳhud-baḳhud mahfūz ho jā.egī terī aabrū

    maġhribī tahzīb se ḳhud ko sajānā chhoḌ de

    nasl-e-nau meñ haq-parastī sifat aa jā.egī

    luqma-e-tar apne bachchoñ ko khilānā chhoḌ de

    mauj-e-tūfāñ se nipaTnā ḳhuub aatā hai mujhe

    merī kashtī ko bhañvar āñkheñ dikhānā chhoḌ de

    qābiliyyat hai agar tujh meñ to kuchh ban kar batā

    tanz talvār duniyā par chalānā chhoḌ de

    ai amīr-e-shahr ghar meñ raushnī ke vāste

    ḳhuun muflis charāġhoñ meñ jalānā chhoḌ de

    bol kar aatā nahīñ insān par vaqt-e-zavāl

    mere ḳhasta-hāl par muskurānā chhoḌ de

    ai andhere raushni ki zad mein aana chhoD de

    aaftab-e-waqt par ungli uThana chhoD de

    KHud-baKHud mahfuz ho jaegi teri aabru

    maghribi tahzib se KHud ko sajaana chhoD de

    nasl-e-nau mein haq-parasti ki sifat aa jaegi

    luqma-e-tar apne bachchon ko khilana chhoD de

    mauj-e-tufan se nipaTna KHub aata hai mujhe

    meri kashti ko bhanwar aankhen dikhana chhoD de

    qabiliyyat hai agar tujh mein to kuchh ban kar bata

    tanz ki talwar duniya par chalana chhoD de

    ai amir-e-shahr ghar mein raushni ke waste

    KHun muflis ka charaghon mein jalana chhoD de

    bol kar aata nahin insan par waqt-e-zawal

    mere KHasta-haal par tu muskurana chhoD de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now