Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai baghban ye jabr hai ya iKHtiyar hai

Shahid Siddiqui

ai baghban ye jabr hai ya iKHtiyar hai

Shahid Siddiqui

MORE BYShahid Siddiqui

    ai bāġhbāñ ye jabr hai iḳhtiyār hai

    murjhā rahe haiñ phuul chaman meñ bahār hai

    shāyad isī naam ġham-e-rozgār hai

    vo mil ga.e to aur bhī dil be-qarār hai

    maiñ sāhab-e-chaman huuñ mujhe e'tibār hai

    shām-e-ḳhizāñ ke baad sub.h-e-bahār hai

    rahbar ne qāfile ko majbūr kah diyā

    ab vo qadam baḌhā.e jise iḳhtiyār hai

    kaliyāñ haiñ zard zard fazā.eñ haiñ sard sard

    kuchh log kah rahe haiñ ye fasl-e-bahār hai

    yuuñ to na ruk sakegā sitam ye silsila

    jo kushta-e-sitam hai vahī sharmsār hai

    dekhī haiñ maiñ ne baaġh vo hālateñ ki ab

    mere liye ḳhizāñ na honā bahār hai

    sābit huā ki raunaq-e-mahfil hai koī aur

    mahfil jamī huī hai magar intizār hai

    har sāhib-e-junūñ gulistāñ pe haq nahīñ

    jis lahū bahā hai usī bahār hai

    ai baghban ye jabr hai ya iKHtiyar hai

    murjha rahe hain phul chaman mein bahaar hai

    shayad isi ka nam gham-e-rozgar hai

    wo mil gae to aur bhi dil be-qarar hai

    main sahab-e-chaman hun mujhe e'tibar hai

    sham-e-KHizan ke baad hi subh-e-bahaar hai

    rahbar ne qafile hi ko majbur kah diya

    ab wo qadam baDhae jise iKHtiyar hai

    kaliyan hain zard zard fazaen hain sard sard

    kuchh log kah rahe hain ye fasl-e-bahaar hai

    yun to na ruk sakega sitam ka ye silsila

    jo kushta-e-sitam hai wahi sharmsar hai

    dekhi hain main ne bagh ki wo haalaten ki ab

    mere liye KHizan ka na hona bahaar hai

    sabit hua ki raunaq-e-mahfil hai koi aur

    mahfil jami hui hai magar intizar hai

    har sahib-e-junun ka gulistan pe haq nahin

    jis ka lahu baha hai usi ki bahaar hai

    Source:

    (Pg. 13)

    • Author: Shahid Siddiqui
      • Publisher: Anjuman Taraqqi Urdu Hind, Hyderabad
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now