Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai dil aata hai chaman mein wo sharabi tu pahunch

Waliullah Muhib

ai dil aata hai chaman mein wo sharabi tu pahunch

Waliullah Muhib

MORE BYWaliullah Muhib

    ai dil aatā hai chaman meñ vo sharābī pahuñch

    le ke pyāla gul ġhuncha gulābī pahuñch

    bhar ke sāġhar kījiye ḳhālī ġham-e-daurāñ se dil

    ab na kar tāḳhīr ai saaqī shitābī pahuñch

    pahne qāsid jab talak yak-bār sharh-e-ishtiyāq

    le kar ai betāb dil iztirābī pahuñch

    ḳhvāhish-e-dil hai ki kiije sair-e-aqlīm-e-junūñ

    Tuk madad ko us ai ḳhāna-ḳharābī pahuñch

    jaa.e hai tanhā shab-e-tārīk meñ vo mehr-vash

    āh-e-ātish-bār le kar māhtābī pahuñch

    na phir shā'ir likheñ tausīf-e-bālā-e-butāñ

    misra'-e-mauzūñ-o-sher-e-intiḳhābī pahuñch

    jalva-farmā aaj hai taḳht-e-chaman par shāh-e-gul

    le kar ai paik-e-sabā chitr-e-sahābī pahuñch

    musht-e-ḳhāk apnī ko aalam meñ na zaa.e' kar 'azīz

    hind se le tā-najaf ai bū-turābī pahuñch

    ai 'muhib' ḳhvāhish gazak ho jo is mai-ḳhvār ko

    hai tirā siina to dūkān-e-kabābī to pahuñch

    ai dil aata hai chaman mein wo sharabi tu pahunch

    le ke pyala gul ka ghuncha ki gulabi tu pahunch

    bhar ke saghar kijiye KHali gham-e-dauran se dil

    ab na kar taKHir ai saqi shitabi tu pahunch

    pahne qasid jab talak yak-bar sharh-e-ishtiyaq

    le kar ai betab dil ki iztirabi tu pahunch

    KHwahish-e-dil hai ki kije sair-e-aqlim-e-junun

    Tuk madad ko us ki ai KHana-KHarabi tu pahunch

    jae hai tanha shab-e-tarik mein wo mehr-wash

    aah-e-atish-bar le kar mahtabi tu pahunch

    ta na phir sha'ir likhen tausif-e-baala-e-butan

    misra'-e-mauzun-o-sher-e-intiKHabi tu pahunch

    jalwa-farma aaj hai taKHt-e-chaman par shah-e-gul

    le kar ai paik-e-saba chitr-e-sahabi tu pahunch

    musht-e-KHak apni ko aalam mein na zae' kar 'aziz

    hind se le ta-najaf ai bu-turabi tu pahunch

    ai 'muhib' KHwahish gazak ki ho jo is mai-KHwar ko

    hai tera sina to dukan-e-kababi to pahunch

    Source:

    Deewan-e-Waleeullah Muhib (Pg. e-148 p-147)

    • Author: Waliullah Muhib
      • Edition: 1999
      • Publisher: Sangat Publishers, Lahore
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now