Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai dil na aqida hai dawa par na dua par

Safi Aurangabadi

ai dil na aqida hai dawa par na dua par

Safi Aurangabadi

MORE BYSafi Aurangabadi

    ai dil na 'aqīda hai davā par na du'ā par

    kam-baḳht tujhe chhoḌ diyā ham ne ḳhudā par

    is tarah sunī 'ishq meñ nāseh har ik baat

    parhez kyā karte haiñ jis tarah davā par

    ab tak to kabhī be-mai-o-ma.ashūq na guzrī

    ā.inda razā-mand huuñ mālik razā par

    itne to gunahgār haiñ badnām-e-mohabbat

    āñkheñ to malī haiñ tire naqsh-e-kaf-e-pā par

    dil lene ke andāz kuchh naam nahīñ hai

    mauqūf hai ye chiiz adā par na hayā par

    allāh mujhe kam se kam itnā to banā de

    ek ek to dil duuñ tirī ek ek adā par

    dekheñ tire kūche zarā āb-o-havā bhī

    chalte haiñ jo paanī pe jo uḌte havā par

    aaj aap ko dekhā magar ab tak to sunā thā

    qaa.il nahīñ hotā kabhī insān ḳhatā par

    mā'lūm nahīñ kaun miTTī se bane haiñ

    vo log jo ġhash haiñ tire naqsh-e-kaf-e-pā par

    ham apne ḳhayālāt islāh kareñge

    koshish to bahut hai bharosa hai ḳhudā par

    hotā huuñ tirī shān-e-karīmī ke tasadduq

    marne ke liye hote haiñ chyūñTī ko 'atā par

    ai dost farāmosh ye hai haal hamārā

    āmīn kahā karte haiñ dushman du'ā par

    kyā aah se armān nikalte haiñ kisī ke

    pul bāñdhte haiñ bāñdhne vaale to havā par

    taklīf hamesha dil-e-ḳhud-sar ne uThā.ī

    aa.ī haiñ balā.eñ bahut us ek balā par

    allāh ne kyā kyā tire muñh se na sunāyā

    ham shukr bhī karte haiñ shikāyat binā par

    taakā thā mujhe aur chhiddā ġhair siina

    ai vaah nikāle haiñ tire tiir ne kyā par

    'āshiq huuñ to kyā aap sohbat meñ rahā huuñ

    hañsnā paḌegā mire rone adā par

    vo kaun haiñ maiñ kaun huuñ kyā muñh se nikālūñ

    mansūr ko suulī milī aisī ḳhatā par

    aise tire 'āshiq kabhī dekhe na sune the

    pahre to biThā.e nahīñ naqsh-e-kaf-e-pā par

    'ushshāq se bhūle kahīñ dekhe bhī haiñ tum ne

    mar miTte haiñ ye log faqat nām-e-vafā par

    tum se to 'safī' ne faqat ik Dhoñg kiyā hai

    khātā hai na piitā hai to jiitā hai havā par

    ai dil na 'aqida hai dawa par na du'a par

    kam-baKHt tujhe chhoD diya hum ne KHuda par

    is tarah suni 'ishq mein naseh ki har ek baat

    parhez kya karte hain jis tarah dawa par

    ab tak to kabhi be-mai-o-mashuq na guzri

    aainda raza-mand hun malik ki raza par

    itne to gunahgar hain badnam-e-mohabbat

    aankhen to mali hain tere naqsh-e-kaf-e-pa par

    dil lene ke andaz ka kuchh nam nahin hai

    mauquf hai ye chiz ada par na haya par

    allah mujhe kam se kam itna to bana de

    ek ek to dil dun teri ek ek ada par

    dekhen tere kuche ki zara aab-o-hawa bhi

    chalte hain jo pani pe jo uDte hawa par

    aaj aap ko dekha magar ab tak to suna tha

    qail nahin hota kabhi insan KHata par

    ma'lum nahin kaun si miTTi se bane hain

    wo log jo ghash hain tere naqsh-e-kaf-e-pa par

    hum apne KHayalat ki islah karenge

    koshish to bahut ki hai bharosa hai KHuda par

    hota hun teri shan-e-karimi ke tasadduq

    marne ke liye hote hain chyunTi ko 'ata par

    ai dost faramosh ye hai haal hamara

    aamin kaha karte hain dushman ki du'a par

    kya aah se arman nikalte hain kisi ke

    pul bandhte hain bandhne wale to hawa par

    taklif hamesha dil-e-KHud-sar ne uThai

    aai hain balaen bahut us ek bala par

    allah ne kya kya tere munh se na sunaya

    hum shukr bhi karte hain shikayat ki bina par

    taka tha mujhe aur chhidda ghair ka sina

    ai wah nikale hain tere tir ne kya par

    'ashiq hun to kya aap ki sohbat mein raha hun

    hansna hi paDega mere rone ki ada par

    wo kaun hain main kaun hun kya munh se nikalun

    mansur ko suli mili aisi hi KHata par

    aise tere 'ashiq kabhi dekhe na sune the

    pahre to biThae nahin naqsh-e-kaf-e-pa par

    'ushshaq se bhule kahin dekhe bhi hain tum ne

    mar miTte hain ye log faqat nam-e-wafa par

    tum se to 'safi' ne faqat ek Dhong kiya hai

    khata hai na pita hai to jita hai hawa par

    Source:

    Kulliyat-e-Safi (Pg. 119)

    • Author: Safi Auranjabadi
      • Edition: 2000
      • Publisher: Urdu Acadami Hayderabad
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now